Sunday, October 25, 2015

Bahar e Shari'at, Zakat ke Masael # 427

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Bad mazhab ko zakat dena jaiz nahi jabh bad mazhab ka hukm yeh hai to iss zamane ke wahabi tauheen e Khuda wa tanqeese Shaane Risalat karte hai aur shaaye bhi karte hai jinko Aqabeer Aulmae Harmain Tayyebain ne bil ittefaq kafir wa murtad farmaya agarche woh apne aapko musalman kahe unhe zakat dena haram wa sakht haram hai aur di to zakat hargiz adaa na hogi.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Bahar e Shari'at, Zakat ke Masael #428

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Maa-baap mohtaj ho aur hilaa e sharai karke zakat dena chahta hai ke yeh fakeer ko dedeiñ phir fakeer unhe de aisa karna makrooh hai issi tarah hilaa e sharai karke apni aulad ko zakat dena bhi makrooh hai.
▶ Apni asl yaani Maa-baap, dada-dadi, nana-nani, wagairah jinki aulad mein ho unheiñ zakat nahi de sakta issi tarah apni aulad beta-beti, pota-poti, nawasa-nawasi wagairah ko zakat nahi de sakta issi tarah sadqa e fitr, nazr wa kaffara bhi inhe nahi de sakta.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #428

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ jabh koi musalmaan dua karta hai jis mein na koi gunaah ki baat hoti hai na qat'a rehmi to Allah Ta'ala aisi dua ko zaroor qabool farmata hai, yaa to duniya mein hi uski dua poori karta hai, yaa aakhirat mein uske liye zakhira kar deta hai.

Yaa uspar aane wali koi aur musibat ko durr farma deta hai, Sahaba e Kiram رضي الله عنهم ne arz ki phir to hum zyada duaeiñ maangenge RasoolAllah ﷺ irshad farmate hai Allah ﷻ bohat zyada dene wala hai.

#Musnad e Ahmed.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


DUA SE BIGDIYA BANTI HAI
DUA SE AZAAB TALTA HAI
ALLAH ﷻ SE MAANGTE HAI MOMIN DUA
DUA MOMINO KA HATHYAR HAI

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #427

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Contd Post #426.
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 114

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
3⃣ Aur uski weerani mein koshish kare.
4⃣ Unko na pahuchta tha ki masjido mein jaye magar darte huwe unke liye duniya mein ruswayi hai.

▶Tafseer
3⃣ Masla- Masjid ki veerani jaise zikr wa namaz ke rokne se hoti hai aise hi uski imaarat ko nuksaan pahuchane aur be-hurmati karne se bhi.
4⃣ Duniya mein unhe yeh ruswayi pahuchi ki qatl kiye gaye giriftaar huwe jalaa watan kiye gaye khilafate Farooqui wa Usmani mein Mulk e Shaam unke qabza se nikal gaya Baitul Muqaddas se Zillat ke saath nikale gaye.

〰〰 to be contd..

fb.me/kanzul.imaan.group

Hadees e Mubaraka #427

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Abbas bin Abdul Mutallib رضي الله عنه farmate haiñ Maiñe RasoolAllah ﷺ ki khidmat e babarkat mein arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ Aapki Nabuwat ki ek alaamat mere islaam mein dakhilay ka baais bani,  Maiñe Aapko gehwareh (jhule) mein dekha ke Aap chand se  baateiñ farmate aur jis taraf ishaara farmate woh ussi simt jhuk jaata.

Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ Maiñ usse baateiñ karta tha aur woh Mujhse baateiñ karta tha, aur woh Mujhko rone se behlaaya karta tha aur jabh woh arsh ke neeche sajda karta tha Maiñ uske girne ki aawaz suna karta tha.

#Al Khasaais Ul Kubra, Jild 1 Safah 53.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

KHELTE THEY CHAND SE BACHPAN MEIN AAQA ﷺ ISLIYE
WOH SARAAPA NOOR THEY WOH THA KHILONA NOOR KA

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #426

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 114

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur usse badh kar Zaalim kaun.
2⃣ Jo Allah ki masjido ko roke unmein Naam e Khuda liye jaane se.

▶Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool yeh Aayat Baitul Muqaddas ki be-hurmati ke muta’alliq naazil huwi jiska mukhtasar waakiya yeh hai ki Room ke nasraaniyon ne Bani Israeel par Fauj kashi ki unke mardaane kaar-Aazma ko qatl kiya zurriyat ko qaid kiya Tauret Shareef ko jalaya Baitul Muqaddas ko veeran kiya usme najasate daali, khinzeer zabah kiye Maaz’Allah Baitul Muqaddas khilafate Farooqui tak usi veerani mein raha Aapke Ahade Mubarak mein musalmano ne usko Bina (Tameer) kiya ek qaul yeh bhi hai ki yeh Aayat mushrikeene Makkah ke haq mein naazil huwi jinhone Ibteda e Islam mein Huzoor Sayyade Aalam ﷺ aur Aap ﷺ ke as-haab ko Kaaba mein Namaz Parhne ko roka tha aur junge hudaibiya ke waqt usme Namaz wa Hajj se mana kiya tha.
2⃣ Zikr, Namaz, Khootba, Tasbeeh, Wa’az, Naat Shareef sabko shamil hai aur Zikrullah ko mana karna har jagah bura hai khaas kar Masjido mein jo isi kaam ke liye banayi jaati hai.
▶ Masla –  jo shakhs Masjid ko zikr wa namaz se mu’attal kar de woh masjid ka veeran karne wala aur bahot zaalim hai.

〰〰 to be contd..
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Bahar e Shari'at, Zakat ke Masael # 426

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Misal ke tor par ek hazar ka malik hai aur zakat do hazar ki di aur niyyat ye ki ke saal khatm hone par agar ek hazar aur ho gaye to ye zakat usski hai warna aainda saal mai shumar hogi to aisa karna jaeez hai
▶Ye guman hai ke 500 rupye hai aur 500 ke hisab se zakat di fir malum hua ke asal mai rakam 400 hi thi to jo jyada rakam di hai wo aainda saal mai shumar kar sakta hai

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #426

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Uqba bin Aamer رضي الله عنه riwayat farmate hai Nabi e Kareem ﷺ ek din bahar tashreef le gaye shohda e uhad par aur iss tarah namaaz padhi jaise janaze ki namaaz padhi jaati hai, Phir Huzoor e Akram ﷺ mimbar par jalwa afroz huwe aur farmaya Maiñ pehle jaakar tumhare kaam durust karne waala hu aur Maiñ tumhare upar gawaah hu, aur Maiñ apne Hauz e Kausar ko abh bhi dekh raha hu aur mujhe zameen ke khazaano ki chaabiya ata farmayi gayi hai.

Khuda ki kasam Mujhe yeh tumhare mutalliq dar nahi ke mere baad tum shirk karne lag jaaoge balke dar to iss baat ka hai ke tum kahi duniya mein na phañs jaao.

#Bukhari Shareef, Kitabul Janaaiz Safah 179.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

DUNIYA KI MUHABBAT SE BACHO
APNE AAMAAL KO DURUST KARO
FARMATE HAI KYA NABI ﷺ HAMARE
YEH GAUR SE SUNLO SABHI

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #425

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 113

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur yahoodi bole nasrani kuch nahi aur nasraani bole yahoodi kuch nahi.
2⃣ Halañki woh Kitab parhte hai.
3⃣ Issi tarah jaahilo ne unki si baat kahi To Allah qayamat ke din inme faisla kar dega jis baat mein jhagad rahe hai.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool nazraan ke nasaara ka wafd Sayyade Aalam ﷺ ki khidmat mein aaya to aulma e yahood aaye aur dono mein munazra shuru ho gaya aawaze buland huwi shor macha yahood ne kaha nasaara ka deen kuch nahi aur Hazrat Isaa عليه السلام aur Injeel Shareef ka inkaar kiya aur issi tarah nasaara ne yahood se kaha ki tumhara Deen kuch nahi aur Tauret Shareef aur Hazrate Moosa عليه السلام ka inkaar kiya is baab mein yeh aayat naazil huwi.
2⃣ Yaani bawajood Ilm ke unhone aisi jaahilana guftagu ki halañki Injeel Shareef jinko nasaara maante hai usme Tauret Shareef wa Hazrate Moosa عليه السلام ki Nabuwwat ki tasdeeq hai isi tarah Tauret Shareef jisko yahood maante hai usme isme Hazrate Isaa عليه السلام ki Nabuwwat aur un tamaam Ahkaam ki tasdeeq hai jo aapko Allah Ta’ala ki taraf se ataa huwe.
3⃣ Aulma e ahle kitaab ki tarah un jaahilo ne jo na Ilm rakhte the na kitaab jaise ki boot parast aatish parast waghairah unhone har ek deen wale ki takzeeb shuru ki aur kaha ki woh kuch nahi unhi jaahilo mein se mushrikine Arab bhi hai jinhone Nabi e Kareem ﷺ aur Aapke Deen ki shaan mein aisi hi kalimaat kahe.

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Bahar e Shari'at, Zakat ke Masael #425

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Zakat ka paisa murde ki tajheez aur tadfeen yaani qafan dafan ya masjid ki tameer mein nahi kharch kar sakte ki tamleek e fakeer nahi paayi gayi yaani yaha mustahik ko malik banana nahi paaya gaya aur in kamoñ mein kharch karna chahe to uska tarika yeh hai ki mustahik ko malik karde aur woh agar sarf kare to sawab dono ko hoga balki Hadees e Pak mein aaya agar 100 hath se sadqa guzre to sabko waisa hi sawab milega jaisa dene wale ko, uske ajr mein kuch kamee na hogi.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in