Sunday, October 25, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #426

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 114

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur usse badh kar Zaalim kaun.
2⃣ Jo Allah ki masjido ko roke unmein Naam e Khuda liye jaane se.

▶Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool yeh Aayat Baitul Muqaddas ki be-hurmati ke muta’alliq naazil huwi jiska mukhtasar waakiya yeh hai ki Room ke nasraaniyon ne Bani Israeel par Fauj kashi ki unke mardaane kaar-Aazma ko qatl kiya zurriyat ko qaid kiya Tauret Shareef ko jalaya Baitul Muqaddas ko veeran kiya usme najasate daali, khinzeer zabah kiye Maaz’Allah Baitul Muqaddas khilafate Farooqui tak usi veerani mein raha Aapke Ahade Mubarak mein musalmano ne usko Bina (Tameer) kiya ek qaul yeh bhi hai ki yeh Aayat mushrikeene Makkah ke haq mein naazil huwi jinhone Ibteda e Islam mein Huzoor Sayyade Aalam ﷺ aur Aap ﷺ ke as-haab ko Kaaba mein Namaz Parhne ko roka tha aur junge hudaibiya ke waqt usme Namaz wa Hajj se mana kiya tha.
2⃣ Zikr, Namaz, Khootba, Tasbeeh, Wa’az, Naat Shareef sabko shamil hai aur Zikrullah ko mana karna har jagah bura hai khaas kar Masjido mein jo isi kaam ke liye banayi jaati hai.
▶ Masla –  jo shakhs Masjid ko zikr wa namaz se mu’attal kar de woh masjid ka veeran karne wala aur bahot zaalim hai.

〰〰 to be contd..
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:

Post a Comment