Saturday, October 31, 2015

Hadees e Mubaraka #454

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Anas رضي الله عنه se riwayat hai ki Sarwar e Aalam ﷺ Maah e Ramzaan ke aakhiri 10 din mein eitekaf farmaya karte the aur ek saal eitekaf nahi farmaya to doosre saal 20 din ka eitekaf farmate.

#Tirmizi Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

AAKHRI DUS DIN AA RAHE HAI
APNE SAATH EK SUNNAT LAA RAHE HAI
DIL SE YE SUNNAT NIBHA LIJIYE
AUR ALLAH ﷻ KO RAAZI KIJIYE

Maah e Ramzaan #454

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Masla ~ Qaza e Umri ki niyat se Shab e Qadr ya akheer jummah e ramzan (Alwida jummah) mein jama'at se parhte hai aur yeh samajhte hai ke umr bhar ki qazaein ussi ek namaz se ada ho gayi, yeh baatil mahaz hai.

# Bahar E Shari'at, Jild 4, Safah 48.

Aaj kal social media par ek messsge bohat aam ho raha hai ke aakhiri jumma ko 4 rakat namaaz parhne se 700 saal ki namaaz qaza ho to bhi adaa ho jaaegi yeh mahez baatil hai uski koi haqeeqat nahi hai aur isse barhkar yeh jhoot baandhte hai ke yeh Hadees e Pak hai, mafoom e hadees e pak hai Huzoor ﷺ farmate hai jo mere naam se jhoot ko mansoob karey woh apna thikana jahannam mein talash karey. Jo log aisa message forward kiye hai unhein chaahiye ke tauba aur astagfaar karey, aur koi hamara bhai/behen aisa message forward karey to uski islaah farmaye.

جَــزَاك اللــه خَيــرَالْجــزَاء

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 453

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd Post # 452.
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 143

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
3⃣ Aur aye mehboob tum pehle jis Qibla par the Humne woh isi liye muqarrar kiya tha ki dekhe kaun Rasool ki pairweeh karta hai aur kaun ulte paanve paon fir jaata hai.
4⃣ Aur beshak ye bhaari thi magar un par Jinhe Allah ne hidayat ki aur Allah ki shaan nahi ki tumhara aqarat kare beshak Allah Aadmiyon par bahot meherban, meher  waala hai.

▶ Tafseer
3⃣  Sayyade Aalam ﷺ pehle Kaaba ki taraf Namaz parrhte the baad hijrat Baitul Muqaddas ki taraf Namaz parrhne ka hukm huwa 17 Maheene ke kareeb us taraf namaz parhi phir Kaaba Shareef ki taraf Muñh karne ka hukm huwa. Is tahweel ki ek yeh hikmat irshad huwi ki isse momin wa kaafir mein fark wa imtiyaz ho jayega chunanche aisa hi huwa.
4⃣ Shaane Nuzool Baitul muqaddas ki taraf namaz parhne ke Zamana mein jin sahaba ne wafaat paayi unke rishtedaaro ne tahweele Qibla ke baad unki Namazo ka hukm dariyaft kiya is par ye Aayate Kareema Naazil huwi aur itminan dilaya gaya ki unki Namaze zaaya nahi un par sawab milega.
▶ Fayeda- Namaz ko Imaan se taabeer farmaya gaya kyuki uski Adaa aur ba-jamaat parhna daleel e Imaan hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali RadiAllaho Anhu #453

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Maula e kainaat Hazrat Ali e Murtuza رضي الله عنه ki wiladat Makkah Muazzama mein jumma ke din 13 Rajjab ke din huwi. Aapke walid ka naam Abu Talib aur waleda ka naam Fatima binte Asad hai.
▶ Aapki wiladat ka waqiya khud aapki walida yun bayaan karti hai ke "main khana e kaaba ke tawaaf mein mashgool thi 3 chakkar ho chuke the ke chauthe chakkar mein mujhe dard mehsoos huwa. Huzoor ﷺ ne mere chehre ke badlaav se mujhe pehchana aur farmaya! Kya baat hai jo aap ka rang badal raha hai? maine arz e haal kiya toh farmaya. Fatima tawaf pura karlo agar isi haal mein dard barh gaya jaaye toh andruni kaaba mein chali jaane ke ismein koi hikmat e ilahi hai."

# Nuzhatul Majalis 11/5.
# Madarijun Nabuwaat 2/917

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #453

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ Roza dozakh ki aag se hifazat ka zariya hai.

#Tirmizi Shareef

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

EK ZARIYA JO SABKO
DIKHATE HAI HUMARE NABI ﷺ
DOZAKH KI AAG SE
PAA LO HIFAZAT SABHI

Maah e Ramzaan #453

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Ibne katal woh munafiq hai jisko Fateh Makkah ke din iss haal mein qatl kiya gaya ke yeh Kaaba Shareef ke Gilaaf mein lapta huwa tha.

Zamaana e jahiliyat mein iska naam abdul ujjaah tha Sarwar e Kainaat ﷺ ne iska naam Abdullah rakhe baaz qaul ke mutabik Bilal. Baad mein yeh murtad hogaya aur ahle makkah se jaa mila.

Jabh Makkah Fateh huwa toh usne Khana Kaaba mein panaah li aur Gilaaf e Kaaba se lipat gaya.

Jiss waqt Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ tawaaf farma rahe they kisi Sahabi ne usse dekha aur arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ yeh ibne katal hai aur Gilaaf e Kaaba se lipta huwa hai.

Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate hai "Jahan ho qatl kardo" hukm ke mutabik usko wahi qatl kar diya gaya. Baaz riwayat mein hai ke uska khoon bhi Kaaba Shareef ki deewaron par gira.

# Madarijun Nabuwwat 2/494.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 452

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd post #451.
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 143

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ Aur ye Rasool tumhare nigahbaan wa gawah.

▶ Tafseer
2⃣ Ummat ko to RasoolAllah ﷺ ki ittela’a ke zariya se ahwale Umam wa tableege Ambiya ka Ilm Qatayi wa yakeeni haasil hai aur Rasoole Kareem ﷺ ba-karame Ilahi noore Nubuwwat se har shakhs ke haal aur uski hakeekate Imaan aur Aamale neik wa Bad aur Ikhlas wa nifaaq sab par Muttala’a hai.
▶ Masla- Isiliye Huzoor ﷺ ki shahadat duniya mein ba-hukme Shara’a Ummat ke haq mein maqbool hai yahi wajah hai ki Huzoor ﷺ ne Apne zamana ke hazireen ke muta’alliq jo kuch farmaya maslan Sahaba wa Azwaj wa Ahle Bait ke fazail wa manaqib ya gaayibo aur baad walo ke liye misl Hazrat Uwais wa Imaam Mehdi waghairah ke is par aiteqaad waajib hai.
▶ Masla- Har Nabi ko unki ummat ke aamal par muttala’a kiya jaata hai taaki Roze Qayamat shahadat de sake Chunki Hamare Nabi e Kareem ﷺ ki Shahadat aam hogi isliye Huzoor ﷺ  tamaam ummato ke ahwaal par muttala’a hai.
▶ Fayeda -  Yahañ Shaheed ba-maani muttala’a bhi ho sakta hai kyuki shahadat ka lafz Ilm wa Ittela’a se maana bhi aaya hai.

〰〰 to be contd..

fb.me/kanzul.imaan.group

Eitekaf ka Bayan # 452

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Eitekaf mustahab, Eitekaf waajib, aur Eitekaf sunnat e mo'akidah ke alawa jo Eitekaf kiya jaye woh mustahab hai.
▶Eitekaf mustahab ke waaste roza shart nahee ye thodi dair ka bhi ho sakta hai Masjid mein jab jab daakhil ho Eitekaf ki niyyat kar le chahe thodi hi dair masjid mein rehkar chala aaye.
▶ Jab chala jayega Eitekaf khatam ho jayega, niyyat mein sirf itna kaafi hai ki maine khuda ke waaste Eitekaf mustahab ki niyyat ki.
▶Mo'atakif (yaani Eitekaf karne wala) raat o din masjid mein hi rahe wahi khaaye piye soye in kaamo ke liye masjid se bahar hoga to Eitekaf toot jayega.
▶Mo'atakif (yaani Eitekaaf karne wala) na chup rahe na baat kare baaki Quran Shareef ki tilawat, Hadees ki karaat, aur Durood Shareef ki kasrat kare. ilme deen ka dars wa tadrees kare Ambiya wa auliya wa swaliheen ke halaat parhe ya deeni baate kare.

# Qanoon e Shari'at, Safah no. 218-219

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #452

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ Maah e Ramzaan mein jisne nafl amal kiya woh uss shaks ki tarah hai jisne dusre mahino mein farz adaa kiya, aur jis shaks ne iss mahine mein ek farz adaa kiya aisa hai jaise dusre mahino mein 70 farz adaa kiya. Aur yeh mahina sabr ka mahina hai.

#Baihaqi Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

ALLAH ﷻ KI TARAF
APNE QADAM SE AAGE BARHO
IS SABR KE MAHINE MEIN
NAFL PARHA KARO

Maah e Ramzaan #452

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Fateh Makkah ke din Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ ne ahle makkah ko aam maafi dedi thi magar ek jamaat aisi thi jisko iss hukm se mustasna rakha gaya tha. Aur unke liye hukm huwa ke jahan paye jaaye qatl kar diye jaaye. In mein se baaz ke qatl hone ke baad unmein se kuch log Tauba wa Ruju aur Imaan ki badaulat maamun huwe aur qatl se nijaat paayi.

Chaar mard jinka qatl huwa ⏬
1 - Abdullah bin khatl.
2 - Haweras bin nakeed.
3 - Mukees bin sababa.
4 - Haris bin talatala.

Woh 7 mard jinhone tauba wa ruju kiya ⏬
1 - Abdullah bin abi sarj.
2 - Ikraam bin abi jahal.
3 - Safwan bin ummaiyah.
4 - Hibaar bin Aswad.
5 - Ka'ab bin zaahir.
6 - Wahshi bin harb.
7 - Abdullah bin jabari.

Woh aurtein jo fateh Makkah ke mauke par maamon rahi ⏬

1 - Hinda binte utbah jauza abu sufiyan. 2 - Kartana yeh ibne katal ki bandhi thi.

Sarah jo bani mutlib ki baandhi thi inke liye aulma mein ikhtelaf hai ke yeh maamon rahi ya inka qatl huwa.

Woh aurtein jo Fateh Makkah ke din qatl ki gayi ⏬

1 - Kareeba ibne katal ki bandhi.
2 - Arnab ibne katal ki bandhi.
3 - Umme saa'ad.

# Madarijun Nabuwwat 2/494-507.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in