Saturday, October 31, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 453

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd Post # 452.
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 143

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
3⃣ Aur aye mehboob tum pehle jis Qibla par the Humne woh isi liye muqarrar kiya tha ki dekhe kaun Rasool ki pairweeh karta hai aur kaun ulte paanve paon fir jaata hai.
4⃣ Aur beshak ye bhaari thi magar un par Jinhe Allah ne hidayat ki aur Allah ki shaan nahi ki tumhara aqarat kare beshak Allah Aadmiyon par bahot meherban, meher  waala hai.

▶ Tafseer
3⃣  Sayyade Aalam ﷺ pehle Kaaba ki taraf Namaz parrhte the baad hijrat Baitul Muqaddas ki taraf Namaz parrhne ka hukm huwa 17 Maheene ke kareeb us taraf namaz parhi phir Kaaba Shareef ki taraf Muñh karne ka hukm huwa. Is tahweel ki ek yeh hikmat irshad huwi ki isse momin wa kaafir mein fark wa imtiyaz ho jayega chunanche aisa hi huwa.
4⃣ Shaane Nuzool Baitul muqaddas ki taraf namaz parhne ke Zamana mein jin sahaba ne wafaat paayi unke rishtedaaro ne tahweele Qibla ke baad unki Namazo ka hukm dariyaft kiya is par ye Aayate Kareema Naazil huwi aur itminan dilaya gaya ki unki Namaze zaaya nahi un par sawab milega.
▶ Fayeda- Namaz ko Imaan se taabeer farmaya gaya kyuki uski Adaa aur ba-jamaat parhna daleel e Imaan hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:

Post a Comment