Thursday, February 25, 2016

Shaan e Ahle Bait #545

Shaan e Ahle Bait # 545.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Huzoor Nabi e kareem ﷺ ne irshad farmaya.

▶ Allah Ta'ala ne Hazrat Ismail علیہ سلاام ki aulaad mein se qabila e kanaana ko pasand kiya. Kanaana se Quraish ko. Quraish se Bani Hashim ko. Bani Hashim mein se mujhe muntakhab(pasand) farmaya.
▶ Hazrat e Jibreel علیہ سلاام ne mujhse arz ki Maine zameen ke mashriq o maghrib ko ulat dale (dekh liye) lekin Maine Mohammedur RasoolAllah ﷺ se afzal kisi ko na paya.
▶ Qayamat ke din Main apni ummat mein sabse pehle apne Ahle Bait ki shafa'at karunga phir dusre logon ki aur Main jiski pehle shafa'at karunga wo zyada fazilat wala hai.

⏩ Isse sabit huwa ke Huzoor ﷺ ke Ahle Bait hasab nasab mein sabse afzal o aala hai.

# Barakate Aale Rasool
# Tibraani Shareef
# Al Sharf ul Muaiyad

Hadees e Mubaraka #545



AYE MOMINO SAB JAANLO HUZOOR ﷺ SE YEH HAQEEQAT
SIRF EK MOMIN KE DIL MEIN HI HOTI HAI KHALIFAOÑ KI MUHABBAT

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah

Hadees e Mubaraka #545.

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ chaar (4) Aadmiyo ki Muhabbat, munaafiq ke dil mein jamaa nahi ho sakti aur Naa hi momin ke siwa koi unse Muhabbat karta hai.  Yaani Abu Bakr, Umar,  Usmaan aur Ali رضي الله عنهم

#As Sawaaeq ul Muharriqah.





Wednesday, February 24, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #544

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #544.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 222.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur tumse puchhte hai haiz ka hukm tum farmao wo naa paaki hai to auratoñ se alag raho haiz ke dino aur unse nazdeeki na karo jabh tak paak na ho leiñ phir jabh paak ho jaye to unke paas jaao jahan tumhe Allah ne hukm diya beshak Allah pasand rakhta hai bahot taubah karne walo ko aur pasand rakhta hai suthroñ ko.
▶ Tafseer

▶ Shaane Nuzool Arab ke log yahood wa majoos ki tarah Haayeza aurato se kamala nafrat karte the saath khana peena ek makaan mein rehna garawa na tha balki shiddat yahañ tak pahuch gayi thi ki unki taraf dekhna aur unse kalaam karna bhi haraam samajhte the aur Nasaara uske bar-aks Haiz ke ayaam mein aurato ke saath badi mohabbat se mashgul hote the aur ikhtelaat mein bahot mubalga karte the Musalmano ne Huzoor ﷺ se Haiz ka hukm dariyaft kiya is par yeh aayat naazil huwi aur Ifraat wa tafreet ki raahe chhod kar aitedaal ki taalim farmayi gayi aur bata diya gaya ki halate haiz mein aurato se mujama'at mamnoo hai.

Shaan e Ahle Bait #544

Shaan e Ahle Bait # 544.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶ Aagaah ho jao ke mere Ahle bait tum logo ke liye kashtiye Nuh علیہ سلاام ki tarah hai ke jo is mein sawaar huwa usne naja'at payi aur jo is mein sawaar hone se reh gaya woh halaak huwa.
▶ Mere sahaaba رضي الله عنهم sitaron ki tarah hai in mein se tum jiski bhi iqtida karoge (naqsh e kadam par chaloge) hidaayat paoge.
Matlab yeh ke jo log Ahle bait ki kashti par sawaar nahi huwe jaise kharji (ek firqa) ke unhone mohabbat ki bajaye Ahle bait se dushmani ki toh woh halaak ho gaye.
Aur raafzi jo iss kashti mein sawaar toh huwe yani Ahle bait se mohabbat toh ki magar hidayat ke sitare matlab sahaaba se hidayat hasil na ki bal ke unki gustaki ki toh kufr o zalalat ke andheron mein kho gaye aur apna imaan tabah kar liya.

▶Allah ka fazle azeem hai ke usne hum Ahle Sunnat wal jama'at ko Ahle bait se bhi wabasta rakha aur Sahaba رضي الله عنهم ke bataye huwe raste par bhi chalne ki taufiq ata farmayi.

الحمد لله رب العلمين

Hadees e Mubaraka #544

MEETHI MEETHI IBARAT PE SHIREEÑ DAROOD
ACCHI ACCHI ISHARAT PE LAAKHOÑ SALAAM

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
Hadees e Mubaraka #544.

Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ jisne Mujh par Darood kitab mein likha Farishte us par us waqt tak Darood padhte raheñge jabh tak Mera Naam us kitab mein likha rahega.

#Dalail_Ul_Khairat_Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #543

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #543.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 541 & 542.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 221.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
3⃣ Agarche woh tumhe bhaati ho aur mushriko ke nikaah mein na do jabh tak woh Imaan na laaye.
4⃣ Aur beshak Musalman gulam mushrik se accha agarche woh tumhe bhaata ho woh dozakh ki taraf bulaate hai aur Allah Jannat aur Bakhshish ki taraf bulaata hai, Apne hukm se aur Apni Aayateiñ logoñ ke liye bayaan karta hai ki kahi woh nasihat maane.

▶ Tafseer
3⃣ Ye aurat ke awliya ko khitaab hai.
▶ Masla – Musalman aurat ka nikaah mushrik wa kaafir ke saath baatil wa haraam hai.
4⃣ To unse ijtenaab zaruri aur unke saath dosti wa karabat na-rawan.

22 Zulhajjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam 543# ‎رضي الله عنه

22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه # 543.

سم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

"Ladki bhi hogi"

Jaleel Ahmed Sahab Bombay waalo ne Faqeer Raaqimul Huroof Muhammad Amanat Rasool Razvi se bayan kiya ke mere Pehle 3 awlaad Narenah (ladka) ho chuki thi. 4th ve Hamal Par Aala Hazrat Sarkar ka likha huwa amal Shikam e Maadar par likhne wala baraye Awlaad narenah likh Chuka tha. Sarkar Mufti e Azam Hind Qibla ki khidmat mein hazir huwe to arz ki keh Huzoor! Teen Ladke Ho chuke hai. Abh ladki ki Dua Farmadein. Sarkar Mufti e Azam e Hind ne barjasta Farmaya. " INSHA ALLAH! LADKI BHI HOGI " Alhaasil jab ayaam poore huwe To Pehle Ladka Paida Huwa. Phir Kuch Deir baad ek Ladki Paida Huwi.. Aur yuh Huzoor Mufti e Alam e Azam alairehmah ki Karamat zaahir huwi. Jaleel Bhai ne yeh bhi kaha keh bataya Gaya hai ke Bacche Judwa Jab paida hote hai amooman Ladke hi ladke Ya Ladki hi ladki. Yahan ek Ladka aur ek Ladki huwi. Aur Yeh bhi bataya gaya ki ek hinaad se Dono hi bacche paida hote hai. Lekin yeh Alahidah Alahidah (alag alag) naad se Paida Huwe. Patah yeh chala ke woh amal Mubarak. Jaleel bhai likh chuke the. Yuh Ladka Huwa. Aur Qutbe Alam Huzoor Mufti e Azam Hind ne Farmaya tha keh. " INSHA ALLAH LADKI BHI HOGI " To Allah ﷻ ne yeh Ek Ladki bhi Ata Farmayi. Aur apne Wali ki yeh Karamat zaahir Farmaya. Phir Huzur Mufti e Azam ki bargah mein Hazir huwe. Aur sayeed bhai Noori ne Naam Rakhne ke liye kaha. To Huzoor ne Farmaya. Ladke ka Naam Muhammad Noor aur Ladki ka Naam Noor Fatimah Rakhen. isse yeh bhi pata chala. Huzoor Aala Hazrat ka diya hua amal bhi poora huwa aur Sarkar Mufti e Azam ka yeh farmana. Ke InshaAllah "ladkhi bhi hogi. Yaani who jaante the woh ilm rakhte the. Ke Pehle Ladka hoga. Phir Ladki.

سُــــبْحانَ الله سُــــبْحانَ الله

# Tajalliyat e Mustafa Raza. pg no 78




Sent from my iPhone

Hadees e Mubaraka #543

ISHQ E RASOOL ﷺ KI GHUTTI PILAAO
QURAAN E PAK KO SEENE SE LAGAAO
AHLE BAIT KI TAZEEM SIKHAAO
ISISE SAB APNI AAKHIRAT BANAAO

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #543.

Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ tum apne bacchoñ ki teen khaslatoñ par tarbiyat karo,
1⃣ Apne Nabi ﷺ ki Muhabbat.
2⃣ Huzoor ﷺ ki Aal e Pak ki Muhabbat.
3⃣ Quran e Pak ki tilawat.

#Jaame Al Hadees Lil Suyooti Hadees No 961.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #542

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #542.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 541.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 221.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ Aur beshak Musalman Laundi mushrika se acchi.

▶ Tafseer
2⃣ Shaane Nuzool ek roz Hazrate Abdullah Bin Rawaha ne kisi khata par apni baandi ko tamaacha maara phir khidmate Aqdas mein haazir ho kar uska zikr kiya Sayyade Aalam ﷺ ne uska haal dariyaft kiya arz kiya ki wo Allah Ta'ala ki wahdaniyat aur Huzoor ki risalat ki gawahi deti hai Razman ke roze rakhti hai khoob wuzoo karti hai aur Namaz parhti hai Huzoor ﷺ ne farmaya woh momina hai aapne arz kiya to uski kasam jisne Aapko Saccha Nabi banakar mab'uus farmaya hai usko aazad kar ke uske saath nikaah karunga aur Aapne aisa hi kiya is par logoñ ne ta'ana zani ki tumne ek siyah faam bandi ke saath nikah kiya bawajood ki falañ mushrika hoori aurat tumhare liye haazir hai woh haseen bhi hai maaldar bhi hai is par naazil huwa ki musalmaan baandi mushrika se behtar hai khwaah wo mushrika aazad ho aur husn wa maal ki wajah se acchi maloom hoti ho.

〰〰 to be contd. .

22 Zulhajjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam 542# ‎رضي الله عنه

22 Zulhijjah Walaadat e Huzoor Mufti e Aazam رضي الله عنه # 542.

سم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Huzoor Mufti E Aazam رضي الله عنه ka Bachpan Aur Jawaani Huzoor Qutb E Madina رضي الله عنه Ki Zabaani.

Yeh wahi Qutb E Madina hain jin ka naam Ziyauddin Ahemad Madani hai Aur jin ki zahd o Taqwa irshaad aur tableeg riyazat o mujahida ikhlaas o lillahiyat aur kamalaat e baitini ke sababa ahle wafa ne qutb e Madina ka khitaab diya hai. Aap Mufti E Aazam ke bachpan aur jawaani ka Aankho dekha haal bayan farmaate hain, "Mufti Aazam qibla ki paidaish ke waqt main 16 saal ka tha maine Mufti E Aazam ka bachpan dekha, Jawaani dekhi aur abh burhapa bhi dekha, Log Burhaape mein Amal ki taraf tawajjoh karte hain. Burhape mein amal ki taraf tawajjoh karna koi kamaal ki baat nahi hai. Jawaani mein munhiyaat e shariya se mehfooz rehna shariyat e mustafwiya par amal karna kamaal hai.

Ziyauddin ahemad ne apni aankho se dekha Wallahil azeem Mufti e Aazam Bachpan hi se paikar e Ilm O Amal hai, Jaam e zehd aur taqwa hai. Is waqt unke ilm aur fazl, zehd aur taqwa, buzurgi aur parehzgaari, Fiqr aur Irfaan ka koi kya andaza laga sakta hai ? Ziyauddin Ahemad Madani Umr mein to Mufti e Aazam Hind se zaroor bara hai lekin Maratib mein Mufti E Aazam Hind Faqeer se bohot bare hai"

Muttaqi bankar dikhaaye is zamaane meiñ koi,
Ek mere Mufti e Aazam ka taqwa chhord kar..

Rehnumaaye Raahe Jannat hai tera naqshe qadam,
Raahe jannat tay na hogi tera rasta chhord kar..




Sent from my iPhone