Sunday, October 2, 2016

Bahar e Shar'iat Namaaz e janaaza ke masaail # 752.

Bahar e Shar'iat.
Namaaz e janaaza ke masaail # 752.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Namaaz e janaaza padhne ka tareeka yeh hai ki kaan tak haath utha kar الله أكبر kehta huwa haath neeche laaye aur naaf ke neeche hasb e dastoor baañdh le yaani jaise namaaz mein bandhte hai aur sana padhe phir bagair haath uthaye الله أكبر kahe aur durood shareef padhe behtar woh durood hai jo namaaz mein padha jaata hai aur koi doosra padha jabh bhi harj nahi phir الله أكبر kehkar apne aur mayyat aur tamaam momin wa momineen ke liye dua kare aur behtar yeh hai ki woh duaein padhe jo ahadees mein warid hai aur maasoor duaein woh duaein jo ahadees se sabit ho agar acchi tarah na padh sake toh jo dua chaahe padhe magar woh dua aisi ho ki umre akhirat se mutalliq ho.

● Masla - Chauthi takbeer ke baad bagair koi dua padhe haath khol kar salaam pher de salaam mein mayyat aur farishte aur hazireen e namaaz ki niyyat kare ussi tarah jaise aur namaazon ke salaam mein niyyat ki jaati hai yahañ itni baat zyada hai ki mayyat ki bhi niyyat kare.

● Masla - Behtar hai ki namaaz e janaza mein teen safein kare ki hadees mein hai ki jiski namaaz teen safon ne padhi uski maghfirat ho jayegi aur agar qul saat (7) hi shakhs ho toh ek imaam ho aur teen pehli saff mein aur do doosri mein aur ek teesri mein.

● Masla - Janaze mein pichli saff ko tamaam safon par fazilat hai yaani pichli mein khade hona agli ke muqable afzal hai.

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #752

MUJHE AISE AMAL KI DE TAUFEEQ
KE HO RAAZI TERI RAZA YA RAB
TU HASAN KO UTHA HASAN KARKE
HO MA'AL KHAIR KHAATIMA YA RAB

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 752
26 Rajjab 1437 Hijri.

Safar e Mea'raj ke mauke par Huzoor e Akram ﷺ ne ek qaum ko mulaheza kiya : Ek badnaseeb qaum sakht takleef mein mubtila hai. Unke saroñ ko bade bade wazni pattharo se kuchla jaata hai,udhar sar kuchla gaya idhar fauran sahi saalim hogaya, phir kuchal diya gaya unki haalat badastur yahi rehti hai.Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ ne farmaya Aye Jibrael! Yeh kaun badnaseeb log hai? Arz kiya yeh woh log hai jinke sar Allah Taala ki baargah me na jhuke.

#Majma Azvaid' Man fil israa, Hadees No. 235

Note: Jo panj waqta namaaz nahi padhte aur Namaz ko bhaar(bojh) samajte hai unhe iss tarha azaab diya jaaega.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #751.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #751.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 06
Aayat No. 145.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur koi jaan be hukme Khuda mar nahi sakti.
2⃣ sab ka waqt likha rakha hai.
3⃣ Aur jo duniya ka inaam chaahe.
4⃣ Hum usmein se usse de aur jo aakhirat ka inaam chaahe hum usmein se usse de aur kareeb hai ki hum shukr waaloñ ko sila ataa kare.

▶ Tafseer
1⃣ Isme jihaad ki targeeb hai aur musalmanoñ ko dushman ke muqabla par zari banaya jaata hai ki koi shakhs baghair hukme Ilaahi ke mar nahi sakta chaahe wo mahalik aur ma'arik mein ghus jaaye aur jabh maut ka waqt aata hai to koi tadbeer nahi bacha sakti.
2⃣ Usse aage piche nahi ho sakta.
3⃣ Aur usko apne amal wa ta'at se husoole duniya maqsood ho.
4⃣ Isse saabit huwa ki madaar niyyat par hai jaisa ki Bukhari wa Muslim Shareef ki hadees mein aaya hai.

Bahar e Shar'iat Namaaz e janaaza ke masaail #751 Contd Post #750.

Bahar e Shar'iat.
Namaaz e janaaza ke masaail #751
Contd Post #750.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

1) Baaghi yaani jo imaame barhaq par nahaa khurooj kare aur ussi baghawat mein mara gaya.
2) Daaku ki daake mein mara gaya na inn ko gusl diya jaaye na inki namaaz padhi jaaye.
3) Jo log nahak paasdari mein lade balki jo inka tamasha dekh rahe the aur patthar akar laga aur mar gaye toh inki namaaz nahi haañ inke alag alag hone ke baad mare toh namaaz hai.
4) Jisne kayi shakhs gala ghontkar maar daale.
5) Shehair mein raat ko hathyaar lekar loot maar kare.
6) Jisne apne maa ya baap ko maar dala uski bhi namaaz nahi.
7) Jo kisi ka maal cheen raha tha aur iss halaat mein mara gaya uski bhi namaaz nahi.
● Masla - Jisne khudkhushi ki halaañki yeh bohat bada gunaah hai magar uske janaaze ki namaaz padhi jayegi agarche qasdan khudkhushi ki ho jo shakhs rajm kiya gaya ya qisaas mein mara gaya usey gusl denge aur namaaz padhenge.

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #751

SHAB E ASRA KE DULHA PE DAA'IM DUROOD
NAUSHAH E BAZME JANNAT PE LAAKHOÑ SALAAM


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 751
25 Rajjab 1437 Hijri.

Sarwar e Ambiya ﷺ irshad farmate haiñ Mea'raj ki raat maine jannat mein barabar barabar ooñche mahal dekhe toh Maiñe kaha Aye Jibrael! yeh mahal kiske liye hai? Toh Jibrael ne arz kiya Yeh mahal gussa zabt karne walo ke liye aur logoñ ko darguzar karne walo ke liye hai.

#Kanzul Ummal,Hadees No. 7016.

Saturday, October 1, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #750.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #750.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 06
Aayat No. 144.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Muhammad to ek Rasool hai.
2⃣ Unse pehle aur Rasool ho chuke.
3⃣ To kya agar woh inteqaal farmaye ya shaheed ho to tum ulte paoñ phir jaaoge aur jo ulte paoñ phirega Allah ka kuch nuksaan na karega aur ankareeb Allah shukr waloñ ko sila dega.

▶ Tafseer
1⃣ Aur Rasooloñ ki be'asat ka maqsood Risaalat ki tableeg aur hujjat ka laazim kar dena hai na ki apni qaum ke darmiyan hamesha maujood rehna.
2⃣ Aur unke mutta'baeen unke baad unke deen par baaki rahe Shaane Nuzool jung e uhad mein jabh kaafiroñ ne pukara ki Muhammad Mustafa ﷺ shaheed ho gaye aur shaitan ne yeh jhooti afwaah mash'hoor ki to sahaba ko bohat ijteraab huwa aur unmein se kuch log bhaag nikle phir jabh nidaa ki gayi ki Rasool e Kareem ﷺ tashreef rakhte hai to sahaba ki ek jamaat wapas aayi Huzoor ﷺ ne unhein hajimat par malaamat ki unhone arz kiya hamare Maa aur Baap Aap par fida ho Aapki shahadat ki khabar sun kar hamare dil toot gaye aur humse thahra na gaya is par yeh Aayate Kareema naazil huwi aur farmaya gaya ki Ambiya ke baad bhi ummatoñ par unke deen ka itteba'a laazim rehta hai to agar aisa hota bhi to Huzoor ke deen ka itteba'a aur uski himaayat laazim rehti.
3⃣ Jo na phire aur apne deen par saabit rahe unko 'Shaakireen' farmaya kyuñ ki unhone apne sabaat se Ne'amat e Islaam ka shukr adaa kiya Hazrat Ali Murtaza كرم الله تعالٰی وجهه الكريم farmate the ki Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه 'Ameenush-Shakireen' haiñ.

Bahar e Shar'iat Namaaz e janaaza ke masaail #750

Bahar e Shar'iat.
Namaaz e janaaza ke masaail #750

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Namaaz e janaaza farz e kifaya hai ki ek ne bhi padh li toh sab zimmedaari se bari hogaye warna jis jis ko khabar pahuchi thi aur na padhi gunaahgaar huwe. Iski farziyat ko jo inkaar kare kafir hai.

●Masla - Uske liye jama'at shart nahi ek shaks bhi padhle farz adaa hogaya.
●Masla - Har musalman ki namaaz padhi jaaye agarche woh kaisa hi gunaahgaar wa murtakibe kabair yaani kabira gunaah karne wala ho magar chand qism ke log hai unki namaaz nahi.


To be Continued.........


#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #750

WAHI HAI AWWAL WAHI HAI AAKHIR
WAHI HAI BAATIN WAHI HAI ZAAHIR
USI KE JALWE USI SE MILNE USI SE USKI TARAF GAYE THE

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 750
24 Rajjab 1437 Hijri.

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ Maiñe apne Rab ko apni aankh aur apne dil se dekha.

#Muslim Shareef

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #749.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #749.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 143

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur tum to maut ki tamanna kiya karte the uske milne se pehle to abh woh tumhe nazar aayi aankhoñ ke saamne.

▶ Tafseer
▶ Shaane Nuzool jabh shohdaa e Badr ke darje aur martabe aur un par Allah Ta'ala ke inaam wa ehsaan bayaan farmaye gaye to jo musalman wahañ haazir na the unhein hasrat huwi aur unhone aarzu ki ke kaash kisi jihaad mein unhein haazri mayassar aaye aur shahadat ke darjaat mile unhi logoñ ne Huzoor Sayyade Aalam ﷺ se Uhad par jaane ke liye israar kiya tha unke haq mein yeh Aayat naazil huwi.

Bahar e Shar'iat Mayyat ke Masaail #749

Bahar e Shar'iat.
Mayyat ke masaail #749.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


● Masla - Mayyat ko kafan dena farz e kifaya hai agar kisi ne kafan nahi diya toh jis jis ko maloom tha sab gunaahgaar huwe kafan ke teen darje hai,
1) Zaroorat
2) Kifayat
3) Sunnat

Mard ke liye sunnat teen kapde hai,
1) Izaar
2) Lifaafa
3) Kameez
Aur aurat ke liye paanch kapde sunnat hai.
1) Izaar
2) Lifaafa
3) kameez
4) odhni
5) seena bandh,
kafan e kifayat mard ke liye do kapde hai lifaafa aur izaar aur aurat ke liye kafan e kifayat teen hai lifaafa, izaar, odhni ya lifaafa, kameez, odhni kafan e zaroorat dono ke liye yeh ki jo mayassar aaye aur kam az kam itna toh ho ki saara badan dhak jaaye.

#Durr e Mukhtaar.