بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Ibn Kantl Woh Kaafir Hai Jisko Fateh Makkah
Ke Din Qatl Kiya Gaya. Jahaliyat Ke Daur Me Uska Naam Abdul Ujjaaj Tha. Huzoor
Rehmat e Aalam ﷺ Ne Uska Naam Abdullah Rakha Aur Dusre Qaul
Ke Mutabik Bilal Naam Rakhe.
Baad Me Woh Murtad Huwa Aur Ahle Makkah (kuffar
e makkah) Se Jaa Mila. Jabh Makkah Fateh Huwa Toh Usne Khaane Kaaba Me Panah Leli Aur Gilaaf e Kaaba
Se Lipat Gaya.
Jiss Waqt Huzoor Sarwar e Qainaat ﷺ Tawaaf Farma Rahe They. Kisi Sahabi Ne
Usse Dekha Aur Azr Kiya Yaa RasoolAllah ﷺ Yeh Ibne Kantl Hai Aur Yeh Gilaaf e Kaaba Me Lipta Huwa Hai..
Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ Farmate Hai Jahan Hai Wahi Katl Kardo Aur
Farmaan Ke Mutabiq Uss Murtad Ko Wahi Qatl Kar Diya Gaya..
Madarijun Nabuwat 2/494.
0 comments:
Post a Comment