Sunday, March 29, 2015

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 216 - Namaaz mein hone wali galtiya aur sajda e sahw

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Namaaz mein hone wali galtiya aur sajda e sahw.

 Kisi bhi namaazi se namaaz mein kabhi aisi galti ho jati hai ke namaaz uske padhne ke hukm ke mutabiq adaa nahi hoti hai. Galti hone ki wajah se sajda e sahw kar lene se dur ho jati hai aur namaaz sahi ho jati hai. Jin galtiyon ki wajah se sajda e sahw waajib hota hai woh yeh hai.

 Kisi wajib ke ada karne mein deir ho jana.
 Namaaz ke arkaan ke ada hone mein tarteeb toot jana yaani aage piche ho jana.
 Namaaz ke kisi farz ya rukn ke ada hone mein der ho jana.
 Kisi farz ya rukn ko uske waqt se pehle ada kar lena.
 Kisi farz ya rukn ko zyada karne se jaise ruku do bar ya sajde teen baar kar liye.
 In tamam galtiyo ko chand lafzon mein kahein to namaaz ke jitne bhi waajibaat hai un mein se ek bhi waajib chootega to sajda e sahw karna waajib ho jayega. Isliye waajibaat ko yaad karna lazim o zaroori hai.

  KHAAS BAAT.
Yeh galtiyan agar bhool se huwi to hi sajda e sahw se kharabi dur hogi aur agar sajda e sahw na kiya to phirse padhni hogi. Aur agar kisine jaanbuj kar galti ki to sajda e sahw se bhi khraabi durr na hogi Namaaz ko dobara padhna padega.
 
This entry was posted in

0 comments:

Post a Comment