Sunday, March 29, 2015

Shaan e Ahle Bait 208 - Taariikhe Tibri & Sawaanahe Karbala

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Hazrate Muslim ki talaash Jasusi Haani ki giraftaari governor house ka gheraaw kuufiyon ki gaddaari.


Hazrate Muslim ki talaash shuru hui aur shaami jaasus ke zariye pata chala ke  Hazrat Haani  ghar thehre huwe hai.
Jaasus aqidatmand ban kar woh roz haazri deta raha.

Ek din Hazrat Haani ko bulaya gaya  aur pucha gaya ke Muslim kahan hai aap inkaar karte rahe to uss shaami ko bulaya gaya usse dekh kar aap ke hosh ud gaye.

Ibne ziyaad se ijazat mangi ke mujhe jaane do mai Hazrat Haani ko apne ghar se nikaal dunga ubaidulla ne ek na suni aap ke chehre aur sar par dande maar maar kar lahu luhaan kar diya aur qaid kar diya.

Jab Hazrat Haani ke nisbati ne kai hazaar logo ke saath jo hathiyaar ke saat the governor house ko gher liya aur pukaara ke hm hukumat ke baaghi nahi lekin hamare sardar ko chod do aur maar diya toh hum badla lenge.

Ibne ziyaad ghabraya aur sheher ke qaazi ko bula kar Haani ko dikhaya aur kaha ke in ke qabiile ke logo ko khabar do ke Haani zinda hai
Kisi wajah se nazar qaid kiye gaye hai.
Qaazi sahab ne hukm par amal kiya aur Haani ke qabile wale chale gaye.

Hazrat Muslim ko pata chala toh baahar aa gaye apne chahnewalon ko aawaaz di.
Jise sunkar lagbhag 40000 log jama ho gaye aur shahi qasr ko gher liya gaya.

Ye moqa tha ke hamla kar dete toh mutthi bhar sipahiyon ko giraftaar kar ke qabzaa kar lete lekin aapne aisa nahi kiya balke gheraw kiye rakha aur baatchit ki koshish jaari rakhi ke baatchit se mamla hal ho jaye toh musalmano mai aapas me khun kahraaba na ho.

Lekin isi mohlat ka fayda utha kar ibne ziyaad ne kuufa ke woh log jo bade qabilon ke sardar the aur qaid mai the unko dhmkaya ke tum apne apne qabile ke logo ko samjao ke Muslim ka sath chod de warna mai tum logon ko qatal kar dunga.

Un sardaaron ne aisa hi kiya aur ek ek qabile khandanon ke log hatte gaye yahan tak ke shaam hote hote jab aapne maghrib ki namaaz shuru ki to sirf 500 log the aur jab salaam phera to aap k piche ek bhi musalli na tha.
Hazrate Muslim masjid me tanha the aur woh mehmaan khaane jaha se beth kar kuufiyon ne khat likhe the bulane ke un par bhi taale pade huwe the. Chamanistaane Rasool ﷺ ke yeh phool tanha ho chuke the.

#Taariikhe Tibri
#Sawaanahe Karbala

0 comments:

Post a Comment