Sunday, March 29, 2015

Shaan e Ahle Bait 217 - 10 muharram aashure ke din jung ki ibtida (Wakiya e Karbala)

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


  10 muharram aashure ke din jung ki ibtida.

Imam e Hussain رضي الله عنه ki karamat ke izhaar ke baad bhi un zalimo ki aankhon se patti nahi khuli, jung ba qaidah shuru huwi.

Dono taraf se ek ek jung o ladaai ke bahadur aate rahe aur muqabla hota raha aur hota yeh ki yazeed ki taraf aanewala wapas nahi jaa pata tha. Is liye un mein se kisi ne yeh kaha ke inse aise jung karoge toh kabhi bhi jeet nahi sakoge isliye ke yeh log jeene se zyada marne ko pasand karte  hai. In par aam hamla karo, phir aam hamla kiya gaya.

Maidaan mai Imam e Hussain رضي الله عنه ke saathiyo ke ghodon ko nishaana banaya gaya jiski wajah se saare ghode maare gaye.
Aap ke saathi ghodon se kudd kar paidal ladne lage lekin zahir hai akela itne saare se abh tak muqaabla karte, Isliye kuch saathi shaheed huwe aur zohar ka waqt huwa toh Imam ne kuufiyon ko kehel waya ke namaaz ki mohlat de.

Kisi badbakth ne kaha ke tumhari namaaz qabool na hogi. Aap ke ek saathi ko josh aagaya aur uss bolne wale se kaha ke tu kya samajta hai ke Imam ki qabool na hogi aur teri qabool hogi Usne sun kar jawab dene wale par hamla kar diya aur fir unki bahadoori se aajiz aakar charon taraf se ghair kar hamla kiya aur shaheed kar diye gaye.

0 comments:

Post a Comment