Sunday, March 29, 2015

Shaan e Ahle Bait 219 - Hazrat e Ali Asgar رضي الله عنه Ki Shahadat (Karbala Ka Waqiya)

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Doodh peene waale nanhe Ali Asgar ki pyaas aur bechaini maa se dekhi na gayi, Bargaah e Imam Hussain رضي الله عنه mein haazir huwi aur arz ki mere sartaaj ab iski bhook pyaas aur bechaini dekhi nahi jaati, Iss bacche ke liye un zaalimo se chand katre paani maang kar dekho ke bacche ko qaraar aa jaaye.

Imam apne lakhte jigar ko le kar maidaan mein aaye aur mukhatab huwe,
" Aye mere Nana ka kalma padhne waalo yeh mera sabse chota baccha hai jo pyaas se dam todh raha hai iseay toh paani pilaa do tumhari dushmani mujhse hai iss bacche ne tumhara kya bigaada? Agar tumhare dil mein rehem ho toh isko paani ke chand ghooth dedo"

Imam ki taqreer ka un zaalimo par koi asar na huwa na rehem aaya, Bal ke ek zaalim Harmilah Bin Kaahil ne nishana baandh kar aisa teer maara ke Hazrat e Ali Asgar رضي الله عنه ke halaq ko cheerta huwa Imam ke mubaarak haath mein daakhil ho gaya. Aapne teer halaq se kheencha toh bacche ke halaq se khoon ka fawaara ubal pada aur rooh parwaaz kar gayi.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

# Khutbaat e Muharram.

☆ Kis Mazey Ki Lazzatein Hain Aab e Teg e Yaar Mein,
Khaak o Khoon Mein Laut'te Hain Tishnagaan e Ahle Bait☆ ..
 

0 comments:

Post a Comment