Sunday, March 29, 2015

Shaan e Ahle Bait 220 - Hazrat e Ali Akbar رضي الله عنه Ki Shahadat

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Hazrat e Ali Akbar رضي الله عنه Ki Shahadat.

Imame Hussain رضي الله عنه ke jigar ke tukde bade bete Ali Akbar ( رضي الله عنه ) ijaazat ke liye haazir huwe aur jab tak Imam ne ijaazat na di aap apni zidd par datte rahe aur ijaazat ke baad maidaan e jung ke liye taiyaar huwe toh Imam ne khud apne bete ko ghode par sawaar kiya apne haathon se un ke jism par hathiyaar sajaaye aur phir aap apni maa ko salaam kar ke maidaan ki taraf chal pade.

Fir kufiyon ko apna nasab bataya ke iss zameen par hum se badh kar qareebi Huzoor ﷺ  ke ghar ke koi nahi, Agar tum aulaade Rasool ke khoon ke pyaase ho toh kisi bahadur ko bhejo.

Aapki iss lalkar ko kisi ne qubool na kiya aur koi himmat na dikha saka.

Aakhir mein aap hi unki safon ki taraf badh kar hamla aawar huwe aur jis taraf badh jaate yazidiyon mein bhag-daud mach jaati thi aur saff titar bitar ho jaati registaan ki tez dhoop teen (3) din ki bhook aur pyaas ne aapko be qaraar kar diya toh Imam ke paas haazir huwe aur arz ki ke Abba jaan kaash ke chand katre paani mil jaata toh maidaan ka naqsha badal deta.

Imam ne sabr ki talqeen ki aur kaha ke bas thodi deir mein hi tum Nanajaan ke mubarak haathon se jaam e kausar nasib hoga ye sun kar aap waapas maidaan mein palte aur akele muqabla karne ke liye kiya phir koi na aaya aapse tanha muqabla karne ke liye. Umar ibne saad ne apne fauj ke pehelwaan tareeq bin sheesh ko gairat dilaayi ke akela tum logo mein daakhil ho kar kayi logo ko qatal kiya aur tum hazaaron ho bade sharm ki baat hai agar tum mein bahaduri hai to aage badho aur maar do main tumko ek sheher ka governer bana dunga.

Taareq laalach mein daud padha magar Ali ke jaanbaaz ne seene par aisa nezah maara ke peeth ki taraf nikla aur tareeq mar gaya yeh dekh kar tareeq ke do (2) bete josh mein aage badhe aur ek ke baad ek dono ka anjaam unke baap jaisa hi huwa ek aur pehelwaan masra bin ghaalib aaya woh bhi maara gaya.

Yazeedi dar gaye aur ek saath chaaron taraf se ghair kar shehzaade par zordaar hamla kiya aur Fatema ke baagh ka ye phool bhi apne khoon mein naha gaya aur Imam ko pukaar utha
Imam daud padhe aur apne bete ke sar ko gaudh mein leliya. Ali Akbar ne Imam ke aakhri deedar kiye aur rooh parwaaz kar gayi.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

# Khutbaat e Moharram.
 

0 comments:

Post a Comment