Monday, April 6, 2015

Bahar e Shari'at #352 - Qayamat ki Nishaniya

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Qayamat ki Nishaniya

▶ Deen par qayam rehna itna mushkil hoga jaisa ki muth'hi mein angara lena mushkil hai yaha tak ki nek aur shareef aadmi qabrastan mein jaa kar tamanna karenge ke kaash main iss qabr mein hota.
▶ Waqt mein barkat na hogi yaha tak ki ek saal 1 mahine ki tarah, mahina hafte ki tarah, hafta din ki tarah aur din aisa ho jayega ki jaisa kisi cheez ko aag lagi aur jaldi hi buj gayi yaani bahot jaldi jaldi waqt guzrega.
▶ Logo ko zakat dena bhari lagega log zakat ko jurmana samjhenge.
▶ Kuch log Ilm e Deen parhenge lekin deen ke liye nahi balki duniya ke liye.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

0 comments:

Post a Comment