بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Tamam Ambiya e Kiram علیہ السلاام ne Hazrat Gaus e Aazam رضي الله عنه ke walid Hazrat Abu Saleh رضي الله عنه ko khawab mein basharat di ke aye Abu Saleh tamam sahaba e kiram رضي الله عنهم aur Aeemma e kiram ke alawa tamam agle aur pichle Auliya tumhare noor e nazar Shaikh Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه ke farmabardar honge aur uska kadam apni gardano par rakhenge aur uski ita'at waliyo ke martabo ki balandi ka sabab hoga.
Hazrat Gaus e Aazam رضي الله عنه ki paidaish ke waqt jeelan mein jitne bacche paida huwe sab ke sab ladke the jinki tadad 1100 thi aur sab ladke Auliya e kamileen baney.
Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ne mea'raj ki raat jo Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه gardan par kadame mubarak rakha tha uska nishan Gaus e Pak رضي الله عنه ki paidaish ke waqt Aapki gardan mubarak par maujood tha. Paidaish ke waqt Hazrat Gaus e Aazam رضي الله عنه ka Chehra mubarak itna raubdaar aur noorani tha ki koi shakhsh Aapko gaur se na dekh sakta tha aur Aapko, Allah ﷻ ne Saiyyad e Aalam ﷺ ke jamal ka mazhar bana kar duniya mein bheja.
#Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه
Mustafa ke Taney Be Saaye ka Saaya Dekha,
Jis ne dekha meri jaañ Jalwa e Zeba Tera.
Sahabiyyat huwi phir Taab’iyyat,
Bas aage Qadri manzil hai Ya Gaus.

0 comments:
Post a Comment