Wednesday, April 1, 2015

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 238 Musafir ki namaaz ke masail

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Musafir ki namaaz ke masail.

▶ Agar koi apne gharwalon ko apne watan e asli se le kar chala gaya aur doosri jagah sukunat ikhtiyaar kar li (rehne laga) aur pehli jagah par uska makaan aur asbaab wagaira baaki hai to woh pehla maqaam bhi uske liye watan e asli hai aur doosra bhi watan e asli hai.
▶ Aurat shadi karke susraal chali gayi aur susraal mein hi rehne lagi to abh uska mayka uske liye watan e asli na raha, yaani agar susraal 92.54 km. li doori par hai aur woh apne mayke aayegi aur 15 din se kam ka irada hai to namaaz qasr padhegi.
▶ Musafir safar karke apne watan e asli pahucha, pahuchte hi safar khatam ho gaya aur woh muqim hogaya, chahe ek din hi ke liye rukna ho tabh bhi abh  poori namaaz padhega.

# Radd ul Mohtaar
# Bahaar e Shari'at
 
This entry was posted in

0 comments:

Post a Comment