Wednesday, April 8, 2015

Shaan e Saiyyaduna Siddique e Akbar رضي الله عنه Day Post #363.

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Sarkaar Sarwar e Kaainaat ﷺ  ke zahiri wisaal e bakamal ke baad baat chali ke Khalifa kaun baney, Ansaar ke log aage aaye aur kaha ke ek shakhs ansaar ka aur ek shakhs muhajireen ka, dono mil kar khilafat chalaein.

Hazrat e Umar Farooque e Aazam رضي الله عنه ne suna to jalaal mein aagaye aur farmaya mujhse baat karo humne Huzoor ﷺ ki zindagi dekhi hai, Humne Islam ko humare saamne failta dekha hai, Humne dekha hai Makkah mein Deen Kaise faila hai, phir Ansaariyo se farmaya kya tumhe nahi pata ki Sarkar ﷺ ne Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه ko logoñ ka imaam banaya tha to tum mein kaun hai jo itna pakiza nafs rakhta ho?
Jo Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه se aage nikal jaaye.

Jab ye kehna tha ki saare Ansari Sahabao رضي الله عنهم ne farmaya "Hum is baat se Allah ﷻ ki panah chahte hai ki hum Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه se aage barhe aur Umar Jo tumne kaha thik kaha".

Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه bhi wahi tashreef farma they Hazrat e Umar رضي الله عنه ne jabh yeh suna Ansari Sahabo se to  sabse pehle apna haath Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه ke haath mein diya aur kaha ki Main sabse pehle Aapke haath par Ba'ait qabool karta hu'n, Yeh Ba'ait karna tha ki piche saare ansaari aur muhajir sahabaon ne Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه ke haath par Ba'ait ki.

# Tafseer e Alam Nashrah, Safah 109.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

0 comments:

Post a Comment