بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶ Surah Fatiha
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
1⃣ ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَٰلَمِينَ
2⃣ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
3⃣ مَٰلِكِ يَوْمِ ٱلدِّينِ
4⃣ إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
5⃣ ٱهْدِنَا ٱلصِّرَٰطَ ٱلْمُسْتَقِيمَ
6⃣ صِرَٰطَ ٱلَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ
7⃣ غَيْرِ ٱلْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا ٱلضَّآلِّينَ
▶ Tarjuma
Allah Ke Naam Se Shuru Jo Bahot Meharban Rahmat Wala
1. Sab Khoobiya Allah Ko Jo Maalik Saare Jahaan Walo Ka
2. Bahot Meharban Rehmat Wala
3. Roze Jaza Ka Maalik
4. Hum Tujhi Ko Pooje Aur Tujhi Se Madad Chahe
5. Hum Ko Seedha Rasta Chala
6. Rasta Unka Jin Par Tune Ahsaan Kiya
7. Na Unka Jin Par Ghazab Huwa Aur Na Bahke Huwo Ka.
Aameen
▶ Tafseer
Surah Fatiha ke kayi naam hai. Fatiha, Fatihatul Kitaab, Ummul Qur’aan, Suratul Kanz, Kaafiya, Waafiya, Shaafiya, Sheefa, Saba-E-Masaani, Noor, Ruqaiyyah, Suratul Hamd, Suratul Dua, Ta’limul Masla, Suratul Tafweed, Suratul Sawal, Ummul Kitaab, Fatihatul Qur’an, Suratus Salaam.
Iss Surat mein 7 Aayate, 27 Kalime,140 Huroof hai.
▶ Shaan e Nuzool yaani kis haalat mein yeh aayat utri.
Yeh Surat Makaa-e-Muqarrama ya Madina-e- Munawwara ya dono jagah utari Amr Bin Sharjeel ka kehna hai ki Nabi-e-Kareem ﷺ ne Hazrat e Khatija رضي الله عنها se farmaya, "Main ek pukaar suna karta hu jisme Iqra yani padho kaha jata hai. Warqa Bin Naufeel ko khabar di gayi, unhone arz kiya jabh yeh pukar aaye to Aap itminaan se sune iske baad Hazrate Jibrail علیہ السلاام Aapki khidmat mein haazir ho kar arz kiye farmaiye,
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَٰلَمِينَ
Yaani Allah ke naam se shuru jo bohat Maherban Rehmat wala. Sab Khoobiya Allah Ko jo Maalik saare jahaan walo isse maloom hota hai ki utarne ke hisaab se yeh pehli Surat hai magar doosri riwayat se maloom hota hai ki pehle Surah Iqra utari. Iss Surat mein sikhane ke taur par bando ki zaban se kalaam kiya gaya hai.
Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue
Parh sakte hai

0 comments:
Post a Comment