بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 37
بسم الله الرحمن الرحيم
◀ فَتَلَقَّىٰ آدَمُ مِن رَّبِّهِ كَلِمَاتٍ فَتَابَ عَلَيْهِ ۚ إِنَّهُ هُوَ التَّوَّابُ الرَّحِيمُ
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Fir seekh liye Aadam ne Apne Rab se kuch kalime to Allah ne uski Tauba Qubool ki. Beshaq wahi hai bahot Tauba Qubool karne wala Meharbaan.
▶ Tafseer
▶ Hazrate Aadam علیہ السلام ne zameen par aane ke baad 300 baras tak Hayaa se aasman ki taraf sar na uthaya agarche Hazrate Dawood علیہ السلام Kaseerulbuka the aapke aansu tamam zameen walo ke aansuoñ se zyada hai magar Hazrat Aadam علیہ السلام is kadar roye ki aapke aansu Hazrat Daood علیہ السلام aur tamam ahle zameen ke majmuaa se badh gaye. #Khazin. Tibrani wa haakim wa Abu Naim wa Behaki ne Hazrat Ali رضي الله عنه se marfuan riwayat ki hai jab Hazrat Aadam علیہ السلام par Aitab huwa to aap fikre tauba mein hairan the is pareshani ki aalam mein yaad aaya ki waqte paidaish maine sar utha kar dekha tha ki Arsh par likha hai “ لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ ﷺ
‘Main samjha tha ki Baargahe Ilahi mein wo rutba kisi ko muyassar nahi jo Hazrat Muhammed ﷺ ko hasil hai ki Allah Ta’ala ne unka naam apne name aqdas ke Saath arsh par Maktub farmaya lihaza aapne apni Dua mein Yani Yaa Rab Main Tujhse Tere Banda e Khaas Muhammed Mustafa ﷺ. ke jaah wa martabat ke tufail mein aur us karamat ke sadqe mein jo Unhe tere darbar mein hasil hai Magfirat chahta hu. Ye dua karni thi ki Haq Ta’ala ne unki magfirat farmayi.
▶ Masla- Is riwayat se sabit hai ki Maqbulane Bargah mein waseela se dua Bahaqqe fala aur bajahe fala keh kar mangna aur Hazrat Aadam علیہ السلام ki Sunnat hai.
▶ Masla- Allah Ta’ala par Kisi ka Haq Wajib nahi hota lekin wo apne Maqbooloñ ko apne fazl wa karam se haq deta hai isi tafazule e haq ke wasile se dua ki jaati hai sahi ahadees se ye sabit hai jaise Hazrat Aadam علیہ السلام ki tauba 10vi Muharram ko Qubool huwi Jannat ke ikhraj ke waqt aur ne’amato ke sath arabi zaban bhi aapse salb karli gayi thi bajaye iske zabane mubarak par suryani jaari kar di gayi thi qaboole tauba ke baad phir Zabane Arabi ata hui . #fatahul Azeez.
▶ Masla- Tauba ki Asl Rajoo-ilallah hai uske teen ruqn hai, ek Aiterafe zurm , Doosra Nadamate jurm aur teesra Azme Tarq agar gunah Kabile talaafi ho to uski talafi bhi laazim hai, Maslan tarike salat ki tauba ke liye pichli namazoñ ki qaza padhna bhi zaroori hai tauba ke baad Hazrat Jibrail علیہ السلام ne zameen ke tamam jaanwaro mein Hazrat Aadam علیہ السلام ki Khilafat ka ailaan kiya aur sab par unki farmabardari laazim hone ka hukm sunaya sab qaboole ita’at ka izhar kiya. # fatahul Azeez.
▶ Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:
Post a Comment