Wednesday, April 8, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #362 - Surah Baqrah Shareef Ayat No. 40

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 40

بسم الله الرحمن الرحيم

1⃣ يَا بَنِي إِسْرَائِيلَ
2⃣  اذْكُرُوا نِعْمَتِيَ الَّتِي أَنْعَمْتُ عَلَيْكُمْ
3⃣  وَأَوْفُوا بِعَهْدِي أُوفِ بِعَهْدِكُمْ
4⃣  وَإِيَّايَ فَارْهَبُونِ

▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Yaqoob ki aulaad.
2⃣ Yaad karo Mera woh ehsaan jo Maine tum par kiya.
3⃣ Aur Mera Ahad poora karo Main tumhara Ahad pura karunga.
4⃣ Aur khaas mera hi dar rakho.

▶Tafseer
1⃣ Israeel ba-maana Abdullah Ibri Zabaan ka lafz hai ye Hazrate Yaqooob علیہ السلام ka laqab hai #madarik . Qalbi mufassir ne kaha Allah Ta’ala ne Pehle tamam insano ko umooman Dawat di phir unke Mabda’a ka zikr kiya uske baad khususiyat ke saath bani Israeel ko dawat di ye log Yahoodi hai aur yahan se doosra paara shuru hone tak unse kalaam jaari hai Kabhi bamulatafat inaam yaad dila kar dawat  ki jaati hai kabhi khauf dilaya jaata hai kabhi Hujjat kayam ki jaati hai  kabhi unki bad-amali par tobikh hoti hai kabhi   gujishta. Uqubaat ka zikr kiya jaata hai.
2⃣ Ye ehsaan ki tumhare Aaba ko Firaun se najaat dilayi dariya ko faada abr ko saaibaan banaya unke ilawa aur ehsanaat jo aage aate hai un sab ko yaad karo aur yaad karna yeh hai ki Allah Ta’ala ki Ita’at wa bandagi karke Shukr bajaa lao kyuki kisi ne’amat ka shukr na karna hi uska bhulna hai.
3⃣ Yaani tum Imaan wa taa’at baja lakar mera ahad poora karo Main jaza wa sawab dekar tumhara ahad poora karunga is Ahad ka bayan aayat mein hai.
4⃣ Masla - Is aayat mein Shukr ne’amat wa wafa-e-ahad ke waajib hone ka bayan hai aur ye bhi ki momin ko chahiye ki Allah ﷻ ke siwa kisi se na dare.

▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:

Post a Comment