Monday, April 6, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #359 Surah Baqrah Shareef Ayat No. 36

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 36

بسم الله الرحمن الرحيم

1⃣فَأَزَلَّهُمَا الشَّيْطَانُ عَنْهَا فَأَخْرَجَهُمَا مِمَّا كَانَا فِيهِ ۖ
2⃣ وَقُلْنَا اهْبِطُوا بَعْضُكُمْ لِبَعْضٍ عَدُوٌّ ۖ
3⃣ وَلَكُمْ فِي الْأَرْضِ مُسْتَقَرٌّ وَمَتَاعٌ إِلَىٰ حِينٍ



▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ To Shaitaan ne Jannat Se unhein lagzish di aur jahan rehte the waha se Unhe alag kar diya.
2⃣ Aur Humne farmaya Niche utaro.
3⃣ Aapas mein ek tumhara Doosre ka dushman aur tumhe ek waqt tak zameen mein thaharna aur baratna hai.

▶ Tafseer
1⃣ Shaitan ne kisi tarah Hazrat Aadam Wa Hawwa علیہ السلام  ke paas pahuch kar kaha ki main tumhe shajare Khuld bata du. Hazrate Aadam علیہ السلام ne inkar farmaya usne kasam khayi ki main tumhara Khair-khwah hu unhe Khayal huwa ki Allah Pak ki jhooti kasam kaun kha sakta hai bayi khayal (isi khayal ke bina par ) Hazrate Hawwa ne usme se  kuch khaya phir Hazrate Aadam علیہ السلام ko diya Unhone bhi tanawool kiya Hazrate Aadam علیہ السلام ko khayal huwa Ki Laa-taq-Raba. ki nahi tanzeehi hai tahreemi nahi kyuki agar wo tahreemi samajhte to hargiz aisa na karte ki Ambiya Masoom hote hai yahan Hazrate Aadam  علیہ السلام se ijtehaad mein khata huwi aur khataye ijtehaadi ma’asiyat nahi hoti.
2⃣ Hazrate Aadam wa Hawwa علیہ السلام aur unki jurriyat ko jo unke salb mein thi Jannat se zameen par jaane ka huqm huwa Hazrate Aadam علیہ السلام  zameen e hind mein sarandeep ke Pahado par aur Hazrate Hawwa Jeddah mein utare gaye. #Khazin. Hazrate Aadam علیہ السلام ki barkat se zameen ke Ashjaar mein pakeeza khushboo paida huwi. # Roohul Bayan
3⃣ Isme Ikhtitaame umr yani maut ka waqt muraad hai aur Hazrate Aadam علیہ السلام ke liye basharat hai ki wo duniya mein sirf itni muddat ke liye hai uske baad phir unhe Jannat ki taraf Rujoo farmana hai aur aap ki aulad ke liye ma’aad par dalalat itni hai ki duniya ki zindagi muayyan waqt tak hai umr tamam hone ke baad unhe aakhirat ki taraf Rujoo karna hai.

▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group


KOI UNKO SIDDIQUE MAANE NA MAANE
DIYA HAI MAGAR UNKO RUTBA KHUDA NE
WOH SIDDIQUE E AKBAR HAI JINKA LAQAB
WOH PEHLE KHALIFA JINKI SHAAN HAI ALAG

0 comments:

Post a Comment