Monday, April 6, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #354 Surah Baqrah Shareef Ayat No. 31

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 31

بسم الله الرحمن الرحيم

1⃣ وَعَلَّمَ آدَمَ الْأَسْمَاءَ كُلَّهَا ثُمَّ عَرَضَهُمْ
2⃣  عَلَى الْمَلَائِكَةِ فَقَالَ أَنبِئُونِي بِأَسْمَاءِ هَـٰؤُلَاءِ إِن كُنتُمْ صَادِقِينَ

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Allah Ta’ala ne Aadam ko tamaam ashiya ke naam sikhaye.
2⃣ Phir Sab Ashiya Malaika par pesh kar ke farmaya  sacche ho to inke naam to batao.

▶ Tafseer
1⃣ Allah Ta’ala ne Hazrat Aadam علیہ السلاام par Ashiya wa jumla Musammiyat pesh farma kar aapko Apne Asma wa Sifaat wa Af’aal wa Khawaas wa Usoole Uloom wa Sana’aat sab ka Ilm ba-tareeqe Ilhaam ata farmaya.

2⃣ Yaani agar tum apne is khayal mein sacche ho ki Main Koi Makhlooq tum se zyada Aalim paida na karunga aur khilafat ke tum hi mustahiq ho to un cheezo ke naam batao kyuki khaleefa ka kaam tasarruf wa tadbeer aur adl wa insaaf hai aur ye bagair uske mumkin nahi ki khaleefa ko un tamaam cheezo ka Ilm ho jin par usko mutasarrif farmaya gaya aur jinka isko faisla karna hai.
▶Masla- Allah  Ta’ala ne Hazrate Aadam  علیہ السلاام ke malaika par Afzal hone ke sabab ilm zahir farmaya isse sabit huwa ki ilme Asma khalwato aur tanhayiya ki ibadat se afzal  hai.
▶Masla- Is aayat se ye bhi saabit huwa ki Ambiya علیہ السلاام malaika se afzal hai .

▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group


WOH JAHANNAM MEIÑ GAYA
JO UNSE MUSTAGNI HUWA
HAI KHALEELULLAH KO
HAAJAT RASOOLALLAH ﷺ KI

0 comments:

Post a Comment