بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 30
بسم الله الرحمن الرحيم
1⃣ وَإِذْ قَالَ رَبُّكَ لِلْمَلَائِكَةِ إِنِّي جَاعِلٌ فِي الْأَرْضِ خَلِيفَةً ۖ
2⃣ قَالُوا أَتَجْعَلُ فِيهَا مَن يُفْسِدُ فِيهَا وَيَسْفِكُ الدِّمَاءَ
3⃣ وَنَحْنُ نُسَبِّحُ بِحَمْدِكَ وَنُقَدِّسُ لَكَ ۖ قَالَ إِنِّي أَعْلَمُ مَا لَا تَعْلَمُونَ
▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur yaad karo jab tumhare Rab ne Fatishto se farmaya, Main zameen mein apna naayib banane wala hu.
2⃣ Bole kya aise ko naayib karega jo usse fasad failaye aur Khoo(n) Reziya kare.
3⃣ Aur Hum tujhe sarahte huwe, teri tasbeeh karte aur teri paaki bolte hai. Farmaya mujhe maloom hai jo tum nahi jaante.
▶ Tafseer
1⃣ Khaleefa ahkaam wa awamir ke izra wa digar tasarrufat mein asl ka nayib hota hai. Yahan Khalifa se Hazrate Aadam علیہ السلاام murad hai agarche aur tamaam Ambiya علیہ السلاام bhi Allah Ta’ala ke khaleefa hai Hazrate Dawood علیہ السلاام ke haq mein Farmaya farishto ko khilafate Aadam ki khabar isliye di gai ki wo unke khaleefa banaye jaane ki hiqmat Dariyaft karke maloom kar le aur un par khaleefa ki azmat wa shaan zahir ho ki unko paidaish se Qabl hi khaleefa ka laqab ata huwa aur aasman walo ko unki paidaish ki basharat di gayi.
▶Masla-isme bando ko taalem hai ki wo kaam se pehle Mashwarah kiya kare. Aur Allah Ta’ala isse paak hai ki usko Mashwarah ki haajat ho.
2⃣ Malaika ka maqsad aiteraz ya Hazrat Aadam par ta’an nahi balki hiqmate Khilafat dariyaft karna hai aur Insano ki taraf fasaad angezi ki Nisbat karna Iska Ilm ya Unhe Allah Ta’ala ki taraf se diya gaya ho ya Loh e Mahfooz se Hasil huwa ho ya khud unhone Jinnat par kiyaas kiya ho.
3⃣ Yaani meri Hiqmate tum par zahir nahi baat ye hai ki Insano mein Ambiya bhi Honge Awliya bhi Aulma bhi aur wo ilmi wa amali dono fazeelato ke jame’a Honge.
▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:
Post a Comment