Monday, April 6, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #356 Surah Baqrah Shareef Ayat No. 33

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 33

بسم الله الرحمن الرحيم

1⃣ قَالَ يَا آدَمُ أَنبِئْهُم بِأَسْمَائِهِمْ ۖ فَلَمَّا أَنبَأَهُم بِأَسْمَائِهِمْ قَالَ أَلَمْ أَقُل لَّكُمْ
2⃣  إِنِّي أَعْلَمُ غَيْبَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَأَعْلَمُ مَا تُبْدُونَ وَمَا كُنتُمْ تَكْتُمُونَ

▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Farmaya aye Aadam bata de Inhe sab Ashiya ke Naam, Jab Aadam Ne unhe sab ke naam bata diye.
2⃣ Farmaya main na Kehta tha ki Main jaanta hu Aasmano aur zameen ki sab chupi cheezein aur Main jaanta hu jo kuch tum zahir karte aur jo kuch tum chupate ho.

▶ Tafseer
1⃣ Yani Hazrat e Aadam علیہ السلام ne har cheez ka naam aur uski paidaish ki hiqmat bata di.
2⃣ Malaika ne jo baat zaahir ki thi wo ye thi ki insaan fasaad angezi wa Khoo(n) rezi karega aur jo baat chupayi thi wo ye thi ki mustahiqe khilafat wo khud hai Allah Ta’ala unse Afzal wa A’ala koi Makhlooq paida na farmayega.
▶Masla – Is aayat se Insaan ki sharafat aur Ilm ki fazilat saabit hoti hai aur ye bhi ki Allah Ta’ala ki Taraf taaleem ki nisbat karna sahi hai agarche usko Mu’allim na kaha jayega kyun ki Mu’allim pesha war taaleem dene wale ko kahte hai .
▶Masla- Isse ye bhi maloom huwa ki jumla Lugaat aur kul zabane Allah Ta’ala ki taraf se hai.
▶Masla- Ye bhi saabit huwa ki Malaika ke uloom wa kamalat me zyadati hoti hai.

▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group



BAKHUDA KHUDA KA YAHI HAI DAR NAHIÑ AUR KOI MAFAR MAQAR,
JO WAHAAÑ SE HO YAHIÑ AA KE HO JO YAHAAÑ NAHIÑ TO WAHAAÑ NAHIÑ
 

0 comments:

Post a Comment