Sunday, May 31, 2015

Hadees e Mubaraka #416

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Hazrat  Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم riwayat farmate haiñ ki RasoolAllah irshad farmate haiñ jab shabaan ki 15wi raat ho to raat ko qiyaam karo, din mein roza rakho kyuki Allah iss raat meiñ suraj guroob hote hi aasmaan e duniya ki taraf mutawajeh hota hai aur farmata hai kaun Mujhse Magfirat talab karta hai ki Meiñ usey Baksh dooñ, kaun  Mujhse Rizq e Halaal talab karta hai ke Meiñ usey Rozi dooñ, kaun Mubtala e Museebat meiñ hai ki Meiñ use Aafiyat dooñ. Is tarah subah tak irshaad hota rehta hai.

#Sunan Ibne Majah, Jild 1, Baab Maaja fi Lailatin Nisfi Min Shabaan, Safah 398,Hadees no.1446.

fb.me/kanzul.imaan.group
 



DO DIN HAIÑ BAAKI
NEKIYO PAR DHIYAN DIJIYE
JAB SHAB-E-BARAAT AYE
ROZA AUR QIYAAM KIJIYE
 

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 415

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 102

Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur uske pairo huwe jo shaitan parrha karte the saltanate Sulaiman ke zamana mein.
2⃣ Aur Sulaiman ne Kufr na Kiya.
3⃣ Haan Shaitan Kaafir Huwe.

Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool  Hazrat Sulaiman عليه السلام ke zamana mein Bani Israeel jaadu seekhne mein mashgool huwe to Aapne  unko isse roka aur unki kitaabe lekar apni kursi ke niche dafan kar di Hazrate Sulaiman عليه السلام ki wafaat ke baad shayateen ne wo kitabe nikalwa kar logo se kaha ki sulaiman عليه السلام issi ke zor se saltanat karte the Bani Israeel ke Sulaha wa Aulma ne to uska inkar kiya lekin unke juhhal jaadu ko Hazrate Sulaiman عليه السلام ka ilm bata kar uske seekhne par toot pade Ambiya ki kitabe chhor di aur Hazrate Sulaiman عليه السلام par malaamat shuru ki sayyade Aalam ke zamana tak usi haal par rahe Allah Ta’ala ne Huzoor par Hazrate Sulaiman عليه السلام ki bara’at mein yeh aayat naazil farmayi.
2⃣ Kyuki woh Nabi hai aur Ambiya kufr se qat’an masoom hote hai unki taraf sehar ki nisbat baatil wa galat hai kyuki sehar ka kufriyat se khaali hona naadir hai.
3⃣ Jinhone Hazrate Sulaiman عليه السلام par jaadugari ki jhooti tohmat lagayi.

〰〰  to be contd...
Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

Islami Akhlaak o Ada'ab, Bahar e Shari'at # 415

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Ek shaks ko doosre ka maal churate dekha hai magar maalik ko khabar deta hai to chor us par zulm karega to khamosh hojae aur yeh andesha na ho to khabar karde.
Jisne kisi ko bura kaam karte dekha aur khud yeh bhi us burey kaam ko karta hai to us burey kaam se mana karde kyuke uske zimmey do (2) cheezeiñ waajib hai burey kaam ko chorna aur doosre ko burey kaam se mana karna, agar ek waajib ka tariq hai to doosre ka kyu tariq baney.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

Hadees e Mubaraka #415

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Huzoor Shafi ul Muznibeen, Rehmat e Aalam irshad farmate haiñ, Shab e Baraat ko Jibrail علیہ السلام mere pass aaye aur arz kiya  yeh raat Shabaan ki 15vi raat hai, Iss raat Allah Qabila e Bani Qalb ki bakriyo ke baalon ki miqdaar (quantity) mein dozakh se gunahgaaroñ ko aazad farmata hai. Aur iss raat kuch logoñ ki taraf Nazre Rehmat nahiñ farmata,
Mushrik.
Bad-Aqeeda.
Keena Parwar (Dil  mein bugz  rakhne  wala)
Rishtedari kaatne wala  (bagair sharai uzr  ke)
Takhno ke niche libaas rakhne wala.
Waalidain ka naa farmaan.
Sharaab ka aadi.

#Baihaqi Shareef Hadees No. 3678.

fb.me/kanzul.imaan.group
 



NA BANO WOH LOG JINHE REHMAT MILTI NAHIÑ
NEKIYO KO NIBHAAO AUR KARO HAR AMAL SAHI
ISS SHAB KITNE GUNHEGAARO KO MILTI HAI AZAADI
ACCHE AMAL KARO NA BULAAO APNI BARBAADI