Sunday, May 31, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 415

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 102

Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur uske pairo huwe jo shaitan parrha karte the saltanate Sulaiman ke zamana mein.
2⃣ Aur Sulaiman ne Kufr na Kiya.
3⃣ Haan Shaitan Kaafir Huwe.

Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool  Hazrat Sulaiman عليه السلام ke zamana mein Bani Israeel jaadu seekhne mein mashgool huwe to Aapne  unko isse roka aur unki kitaabe lekar apni kursi ke niche dafan kar di Hazrate Sulaiman عليه السلام ki wafaat ke baad shayateen ne wo kitabe nikalwa kar logo se kaha ki sulaiman عليه السلام issi ke zor se saltanat karte the Bani Israeel ke Sulaha wa Aulma ne to uska inkar kiya lekin unke juhhal jaadu ko Hazrate Sulaiman عليه السلام ka ilm bata kar uske seekhne par toot pade Ambiya ki kitabe chhor di aur Hazrate Sulaiman عليه السلام par malaamat shuru ki sayyade Aalam ke zamana tak usi haal par rahe Allah Ta’ala ne Huzoor par Hazrate Sulaiman عليه السلام ki bara’at mein yeh aayat naazil farmayi.
2⃣ Kyuki woh Nabi hai aur Ambiya kufr se qat’an masoom hote hai unki taraf sehar ki nisbat baatil wa galat hai kyuki sehar ka kufriyat se khaali hona naadir hai.
3⃣ Jinhone Hazrate Sulaiman عليه السلام par jaadugari ki jhooti tohmat lagayi.

〰〰  to be contd...
Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

0 comments:

Post a Comment