Sunday, May 31, 2015

Hadees e Mubaraka #414

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 
ﷺ


Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ, tummeiñ se kaun hai jisko apne waaris ka maal apne maal se zyada pyara ho? Sahaba e kiram رضي الله عنه ne arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ hum sabko apna maal zyada pyara hai. RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ tumhara maal woh hai jo tum aage bhej do (Allah ﷻ ki raah meiñ kharch karo) aur waaris ka maal woh hai jo chhor jaaye (inteqal ke baad).

#Tirmizi Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
 



RAAHE KHUDA MEIÑ
JO MAAL KHARCH HO
KHUDA KARE USSI SE
HAMARI NAJAAT HO
 

0 comments:

Post a Comment