بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Hazrat e Salman Farsi رضي الله عنه se riwayat hai Nabi e Kareem ﷺ shabaan ke aakhiri din humse kithab farmaya. Aye Musalmaano! Tumhare pass badaai wala barkat wala mahina aaya. Woh mahina jiski ek raat Hazaar Mahino se afzal hai. Uske roze Allah Ta'ala ne farz kiye. Jo iss mahine mein neki ka kaam yaani nafl ibadat karey to aise hai jaise doosre mahino mein farz adaa kiya. Aur jisne ek farz adaa kiya to aise hai jaise aur dino mein sattar (70) farz adaa kiya. Yeh sabr ka mahina hai aur sabr ka sawab jannat hai aur iss mahine momino ki rozi barha di jaati hai.
Jo isme rozedar ko iftaar karaye uske gunaaho ke liye bakshish hai aur uski gardan jahannam se aazad kardi jaegi. Isme iftaar karane wale ko aisa hi sawab milega jaise ke roza rakhne wale ko. Humne arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ hum mein ka har shakhs woh cheez nahiñ paata jisse roza iftaar karaye. Huzoor ﷺ ne farmaya, 'Allah ﷻ yeh sawaab usko bhi dega jo ek ghoont dudh ya ek khajoor ya ek ghoont pani se iftaar karaye, aur jisne rozedar ko peit bhar khana khilaya usko Allah ﷻ mere hauz se pilayega. Woh kabhi pyasa nahiñ hoga yaha tak ke jannat mein dakhil ho jaaega. Yeh woh mahina hai ki iska shuru wala hissa Rehmat hai aur iska beech wala hissa Bakshish hai aur iska aakhiri hissa jahannam se aazadi hai. Aur jo apne ghulam par iss mahine mein kaam lene mein kami karde to Allah Ta'ala usse baksh dega aur jahannam se azaad farmaega.
#Tirmizi Shareef.
fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in
EK GHOOT PANI PILADO
YA EK KHAJOOR KHILADO
MAAH E RAMZAAN KI KHUBI KYA HAI
PARHKE DOOSRO KO BHI SIKHADO

0 comments:
Post a Comment