Tuesday, October 27, 2015

Maah e Ramzaan #448

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Kab bin Ajrah رضي الله عنه se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne humein irshad Farmaya, Mimbar ke paas Jamaa ho jao, hum sab jamaa ho gaye, Huzoor ﷺ ne jab Mimbar ki pehle seedi (step) par qadam rakha to farmaya: "Aameen"

Doosri seedi par qadam rakha to phir farmaya: "Aameen"

Jab Teesri seedi par qadam rakha to phir farmaya: "Aameen"

Sahaba ne arz kiya Ya RasoolAllah! ﷺ Aaj humne Aapse aisi baat suni hai jo pehle kabhi nahi suni, RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya Mere paas Jibraeel علیہ السلام aaye the.

Jab Maiñe pehli seedi par qadam rakha to unhone kaha halaak o barbaad ho jaye wo shaks jo Ramzaan ul Mubarak ka mahina paye phir bhi us ki bakhshish na ho Maiñe kaha 'Aameen'

Jab Maiñe doosri seedi par qadam rakha to unhone kaha halaak o barbad ho jaye wo shakhs jiske saamne Aapka Naam e Mubarak liya jaye aur wo Aap ki khidmat Aqdas mein Darood Shareef na bheje, Maiñe kaha 'Aameen'

Jab Maiñe Teesri seedi par qadam rakha to unhone kaha halaak o barbaad ho jaye wo shakhs jo apne waldain ko budhape ki halat mein paye lekin woh (unki khidmat karke) Jannat mein daakhil na ho, Maiñe kaha 'Aameen'

#Mustadrak Al Hakim Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blog

0 comments:

Post a Comment