Saturday, October 31, 2015

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali RadiAllahu Anhu #455

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Hazrat Sahl bin Saad رضي الله عنه se riwayat hai ke Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Hazrat Ali رضي الله عنه ke ghar Hazrat e Fatima رضی اللہ عنہا ke pass tashreef le gaye the, Huzoor ﷺ pahuchte uss se pehle Hazrat Ali رضي الله عنه ghar se bahar tashreef le jaa kar masjid mein so gaye the.
▶Huzoor ﷺ ne Sayyeda Fatima رضی اللہ عنہا se farmaya "Tumhare Ibne Amm yaani Ali Murtuza kahañ hai?" Sayyeda  Fatima رضی اللہ عنہا ne arz kiya " Mere aur Unke darmiyan ranjish si ho gayi hai aur woh gusse mein bahar chale gaye hai."
▶ Iske baad Huzoor ﷺ ne kisi se farmaya ke dekho Ali kahaa hai to uss shakhs ne aakar arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ Hazrat Ali رضي الله عنه masjid mein aaram kar rahe hai. Huzoor ﷺ Hazrat Ali رضي الله عنه ke sirhane tashreef laaye aur unko pehlu par sota huwa dekh mulahiza farmaya. Unke pehlu par nishanaat padey huwe they aur unka badan khaak aluda hogaya tha.
▶ Iss par Huzoor ﷺ ne farmaya "Kum Abaa Turaab" yaani Abu Turab Utho. Aur ussi din se Maula e Kainaat رضي الله عنه ki kunniyat Abu Turab hogayi.

# Bukhari Shareef.
# Muslim Shareef.
# Madarijun Nabuwwat 2/136

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

0 comments:

Post a Comment