Saturday, October 31, 2015

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali RadiAllahu Anhu #454

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Jabh khabar e Wiladat e Hazrat Ali رضي الله عنه Sarwar e Aalam ﷺ ko pahuchi to farmaya uska kya naam rakha.? Abu talib ne kaha maiñe uska naam Zaidar rakha hai aur uski maa ne asdar rakha hai.
▶ Huzoor ﷺ ne farmaya uss bacche ka naam Ali rakho jo Aali Himmat ki khabar de. Aapki walida ne arz ki Khuda ki kasam Mujhe gaib se aawaz aati thi ke fatima iska naam Ali rakho magar Maiñe iss baat ko chupaya tha.
▶ Wiladat ke baad Aapne apni aankhein nahi kholi tamaam haazireen ko laga jaise abu talib ke ghar na-beena baccha paida huwa hai poore makkah shehair mein yeh khabar phail gayi. Phir Nabi e Kareem ﷺ tashreef laaye aur Hazrat Ali ko apni godh mein liya, godh mein lete hi maula e kainaat ne apni aankhein kholi aur RasoolAllah ﷺ ke chehre mubarak ko dekh kar muskuraye.
▶ Abu yaa'ala ne hazrat Ali رضي الله عنه se riwayat ki hai ke unhone farmaya ki Huzoor ﷺ ne peer ke din Ailaan e Nabuwat kiya aur Maiñ peer hi ke din islam laaya. Islaam laane ke waqt aapki umr shareef kitni thi isme ikhtelaf hai. Allama Suyuti رحمۃ اللہ علیہ naql karte hai ke aapki umr 8 ya 10 saal thi.

# Awrak e Gamm 149.
# Madarijun Nabuwwat 2/917.
# Asmaau Rijaal Mishkaat 602.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

0 comments:

Post a Comment