بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 131 , 132 & 133
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Jabh ki usse uske Rab ne farmaya gardan rakh arz ki maiñe gardan rakhi uske liye jo Rab hai saare jahan ka. Aur ussi deen ki wasiyat ki Ibrahim ne apne betoñ ko aur Yakub ne ki Aye mere Betoñ ! Beshaq Allah ne yeh deen tumhare liye chun liya to na marna magar, musalman! Balki tum mein ke khud maujood the.
2⃣ Jabh jo khuda hai Aapka aur Aap ke Walid Ibrahim wa Ismaeel wa Is’haaq ka ek Khuda aur hum uske huzoor gardan rakhe hai.
▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool ye aayat yahood ke haq mein naazil huwi unhone kaha tha ki Hazrate Yakub عليه السلام ne apni wafaat ke roz apni aulaad ko yahoodi rehne ki wasiyat ki thi Allah Ta’ala ne unke is bohtan ke radd mein ye aayat naazil farmayi. (# Khazin ) maana yeh hai ki aye bani israeel tumhare pehle log Hazrate Yakub عليه السلام ke aakhir waqt unke paas maujood the jiss waqt unhone Apne betoñ ko bula kar unse Islam wa Tauheed ka iqraar liya tha aur yeh iqraar liya tha jo Aayat mein mazkoor hai.
2⃣ Hazrate Ismaeel عليه السلام ko Hazrat Yakub عليه السلام ke aaba mein dakhil karna to isliye hai ki aap unke chacha hai aur chacha ba-manzil e baap ke hota hai jaisa ki Hadees Shareef mein hai aur Aap ka naam Hazrat Is’haaq عليه السلام se pehle zikr farmana do wajah se hai ek to yeh ki Aap Hazrate Is’haaq عليه السلام se 14 saal bade hai doosri isliye ki Aap Sayyade Aalam ﷺ ke Jadd hai.
fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:
Post a Comment