Sunday, October 25, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 438

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 437
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 125 , 126 & 127

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
4⃣ Aur Humne taaqid farmayi Ibrahim aur Ismaeel ko ki mera ghar khoob suthra karo tawaaf walon aur aitikaaf walo aur Ruku wa sujood walon ke liye aur jabh arz ki Ibrahim ne ki Aye Rab mere is shehair ko Amaan wala karde aur iske rehne walo ko tarah tarah ke phaloñ se rozi de jo unme se Allah aur pichle deen par Imaan Laaye.
5⃣ Farmaya aur jo kaafir huwa thoda baratne ko use bhi dunga phir Azaabe dozakh ki taraf majboor karunga aur woh bahot buri jagah hai palatne ki aur jabh uthata tha Ibrahim us ghar ki neeve aur Ismail yeh kehte huwe ki Aye Rab hamare humse qubool farma beshak tu hi hai sunta jaanta.

▶ Tafseer
4⃣ Chunki Imamat ke baab mein irshad ho chuka tha isliye Hazrate Ibrahim عليه السلام ne is dua mein momineen ko khaas farmaya aur yahi Shaane Adab thi Allah Ta’ala ne karam kiya dua qubool farmayi aur irshad farmaya ki Rizq sab ko diya jayega Momeen ko bhi kaafir ko bhi lekin kaafir ka rizq thoda hai yani sirf duniyawi zindagi mein woh bahramand ho sakta hai.
5⃣ Pehli martaba Kaaba e Muazzama ki buniyaad Hazrate Aadam عليه السلام  ne rakhi aur Baad Toofane Nooh fir Ibrahim عليه السلام  ne usi buniyad par taamir farmayi ye taamire khaas Aapke Daste Mubarak se huwi iske liye patthar utha kar laane ki khidmat wa sa’adat Hazrate Ismail عليه السلام ko muyassar huwi dono hazraat ne us waqt yeh dua ki Yaa Rab hamari ye ta’at wa khidmat Qubool farma

fb.me/kanzul.imaan.group



0 comments:

Post a Comment