بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 118
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur jaahil bole.
2⃣ Allah Humse kyu nahi kalaam karta.
3⃣ Ya humeiñ koi nishaani mile.
4⃣ Inse Agloñ ne bhi aisi hi kahi inki si baat inke unke dil ek se hai.
5⃣ Beshak Humne nishaniya khol di yakeen waaloñ ke liye.
▶Tafseer
1⃣ Yaani Ahle Kitaab ya mushrikeen.
2⃣ Yaani be waasta khud kyu nahi farmata jaisa ki Malayika wa Ambiya se Kalaam farmata hai yeh unka kamale takabbur aur nihayat sarkashi thi unhone apne Aapko Ambiya wa Malayika ke barabar samjha Shaane Nuzool Rafe’a Bin Khuzaima ne Huzoor Aqdas ﷺ se kaha agar Aap Allah ke Rasool hai to Allah se farmaiye woh hum se kalaam kare hum khud sune is par yeh Aayat naazil huwi.
3⃣ Yeh un Aayat ka Ainadan Inkaar hai jo Allah Ta’ala ne ataa farmayi.
4⃣ Kori wa Nabinaai aur Kufr wa kasawat mein Isme Nabi e Kareem ﷺ ki taskeene khatir farmayi gayi ki Aap ﷺ unki sarkashi aur muaanidana inkar se ranjeeda na ho pichhle kuffar bhi Ambiya ke saath aisa hi karte the.
5⃣ Yaani Aayate Quraani wa Mojezaat Baahiraat Insaaf wale ko Sayyade Aalam ﷺ ki Nabuwwat ka yakeena dilane ke liye kaafi hai magar jo taalibe yakeena na ho wo dalaeel se fayeda nahi utha sakta.
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:
Post a Comment