Sunday, October 25, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 445

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 135

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur jo kitabi bole
2⃣ Yahoodi ya nasrani ho jaao raah paoge tum farmaao balki hum to Ibrahim ka deen lete hai jo har baatil se jooda the aur mushriko se na the

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنهما ne farmaya ki yeh Aayat ru’asaye yahood aur nazraan ke nasraaniyon ke jawab mein naazil huwi yahoodiyon ne to musalmano se yeh kaha tha ki Hazrate Moosa عليه السلام tamaam Ambiya mein sabse Afzal hai aur tauret tamaam kitaabo mein Afzal hai aur yahoodi deen tamaam adiyaan se aala hai iske saath unhone Sayyade Qayinat Muhammed  Mustafa ﷺ aur Injeel Shareef wa Quraan Shareef ke saath kufr karke Musalmano se kaha tha ki yahoodi ban jaao issi tarah nasraniyon ne bhi apne hi deen ko haq bata kar Musalmano se nasraani hone ko kaha tha is par yeh Aayat naazil huwi.
2⃣ Iss mein yahood wa nasaara par ta’areez hai ki tum mushriq ho isliye Millate Ibraheem par hone ka daawa jo tum karte ho woh baatil hai iske baad musalmano ko khitab farmaya jaata hai ki woh un yahood wa nasaara ye keh de Quloo Aamanna #Al-Aayat.

fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:

Post a Comment