Sunday, October 25, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 437

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 125 , 126 & 127

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Yaad karo jabh Humne is ghar ko.
2⃣ Logon ke liye marja’a aur Amaan banaya.
3⃣ Aur Ibrahim ke khade hone ki jagah ko Namaz ka mukaam banaao.

▶ Tafseer
1⃣ Bait se kaaba shareef muraad hai aur isme tamam Haram shareef daakhil hai.
2⃣ Amaan banana se yeh muraad hai ki Haram e Kaaba mein qatl wa gaarat haraam hai ya yeh ki wahan shikar tak ko Amaan hai yahan tak ki Haram Shareef mein sher bhediye bhi shikar ka pichha nahi karte chhor kar laut jaate hai, ek qaul ye hai ki momin usme daakhil ho kar azaab se mamoon ho jaata hai Haram ko Haram isliye kaha jaata hain ki usme qatl zulm shikaar Haram wa mamnoo hain (# Ahmadi ) Agar koi mujrim bhi daakhil ho jaye to waha usse ta’aruz na kiya jayega ( # Madarik )
3⃣ Makaam e Ibrahim woh patthar hai jis par khade hokar Hazrate Ibrahim عليه السلام ne Kaaba Mu’azzama ki Bina ( buniyad ) farmayi aur usme Aapke Qadame Mubarak ka nishan tha usko Namaz ka makam banana ka Amoor istehbaab ke liye hai ek qaul yeh bhi hai ki us Namaz se tawaf ki 2 rakat muraad hai. ( # Ahmadi Waghairah )

〰 to be contd..

fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:

Post a Comment