Sunday, November 1, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 456

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 145 & 146

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur agar tum un kitabiyon ke paas har nishani lekar aao woh tumhare Qibla ki pairweeh na karenge.
2⃣ Aur na tum unke Qibla ki pairweeh karo.
3⃣ Aur woh aapas mein bhi ek doosre ke Qibla ke tabe’a nahi.

▶ Tafseer
1⃣ kyuki Nishani usko naafe’a ho sakti hai jo kisi shubaha ki wajah se munkir ho yeh to hasad wa ainad se inkaar karte hai unhe isse kya nafaa hoga.
2⃣ Maana ye hai ki Qibla mansukh na hoga to abh ahle kitaab ko ye tama’a na rakhna chahiye ki Aap unme se kisi ke Qibla ki taraf rukh karenge.
3⃣ Har ek ka Qibla judaa hai yahood to sakhara e Baitul Muqaddas ko apna Qibla karaar dete hai aur nasara Baitul Muqaddas ke us makaane shaki ko jahan nafkhe Rooh Hazrat Masih waaqe huwa. ( #Fatah ).

〰〰 To Be Contd...

fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:

Post a Comment