Sunday, November 1, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 470

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd Post # 469.
Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 157 & 158.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
3⃣ To jo us ghar ka Hajj ya Umrah kare us par kuch nahi ki un dono ke fere kare  aur jo koi bhali baat apni taraf se kare to Allah Neki ka sila dene wala Khabardar hai.

▶ Tafseer
3⃣ Shane nuzool zamana e jahiliyyat mein Safah wa Marwah par do boot rakhe the Safah par jo boot tha uska naam asaaf aur jo Marwah par tha uska naam naeela tha kuffar jabh Safah wa Marwah ke darmiyan saee karte to un booto par taaziman haath phairte Ahade Islam mein boot to tode gaye lekin chunki kuffar yahan mushrikaana fail karte the isliye musalmano ko Safah wa Marwah ke darmiyan saee karna girra huwa ki isme kuffar ke mushrikana fail ke saath kuch mushabihat hai is aayat mein unka itminan farma diya ki chuñki tumhari niyyat khaalis Ibadate Ilahi ki hai tumhe Andesha e Mushabihat nahi jis taraf Kaaba ke andar zamana e jahiliyyat mein kuffar ne boot rakhe the abh Ahade Islaam mein Boot utha diye gaye aur Kaaba Shareef ka tawaf durust raha aur woh Sha’aeere Deen mein se raha isi tarah kuffar ki boot parasti se Safah wa Mawrah ke Sha’aeere Deen hone mein kuch fark nahi aaya.
▶ Masla-  Saee (Yani Safah wa Marwah ke darmiyan daudna) waajib hai Hadees se saabit hai Sayyade Aalam ﷺ ne is par mudawamat farmyai hai iske tarq se dum dena yaani qurbani wajib hoti hai.
▶ Masla- Safah wa Marwah ke darmiyan saee Hajj wa Umrah mein laazim hai fark yeh hai ki Hajj ke andar Arafaat mein jana aur waha se tawafe Kaaba  ke liye aana Shart hai aur Umrah ke liye Arafat mein jana shart nahi.
▶ Masla- Umrah karne wala agar baitune Makkah se aaye usko Barahe Raast Makkah Muqarrama mein aakar tawaf karna chahiye aur agar Makkah ka saakin ho to usko chahiye ki Haram se bahar jaaye waha se tawafe Kaaba ke liye ehraam baandh kar aaye Hajj wa Umrah mein ek fark ye bhi hai ki Hajj saal mein ek hi martaba ho sakta hai Kyuki Arafat mein Arafa ke din yaani navvi Zilhijjah ko jaana Hajj mein shart hai  saal mein ek hi martaba mumkin hai aur Umrah har din ho sakta hai iske liye koi waqt Mu’ayyan nahi.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

0 comments:

Post a Comment