Sunday, November 1, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 469

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 157 & 158.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Ye log hai jin par unke Rab ki Daroode hai aur Rehmat aur yahi log raah par hai beshak Safah aur marwah.
2⃣ Allah ke nishano se hai

▶ Tafseer
1⃣ Safah wa Marwah Makkah Muqarrama ke do pahaad hai jo Kaaba Mua’zzama ke muqabil jaanibe Sharq Waaqe hai Marwah Shumal ki taraf maaeel hai aur safah junoob ki taraf Jabal Abi Qubais ke daman mein hai ki Hazrate Haajra Aur Hazrate Ismaeel عليه السلام ne in dono pahado ke kareeb us maqaam par jahañ chahe zamzam hai Ba-hukm e Ilaahi Sukoonat ikhtiyar farmayi us waqt  yeh maqaam sanglaakh bayabaan tha na yahan sabza tha na paani na khurd wa nosh ka koi saaman Raza-e- Ilahi ke liye un maqbool bando ne sabr kiya Hazrate Ismaeel عليه السلام bohat khurd saal the Tishnagi se jabh unki jaan balabi ki halat huwi to Hazrate Hajra betaab ho kar kohe Safah par tashreef le gayi waha bhi paani na paaya to utar kar nasheb ke maidain mein daudti huwi Marwah tak pahuchi is tarah 7 martaba gardhish aur Alllah Ta’ala ne Innalaaha Ma'as'saabireen ka jalwa is tarah zaahir farma ki gaib se ek chashma namudaar kiya aur unke sabr wa ikhlaas ki barkat se unke itteba’a mein in dono pahado ke darmiyan daudne waloñ ko maqboole baargaah kiya aur un dono ko mehle ijaabate dua banya.
2⃣ Sha’aeerullah se Deen ke A’alaam yaani nishaniya murad hai khwah wo makanaat ho jaise Kaaba, Arafaat, muzdalfa, zimaare salaasa, Safah, Marwah, Meena, Masaajid yaa Azmina jaise Razmzaan Ash’hare Haraam Eide Fitr wa Azha, Jumma, Ayyame Tashreeq yaa doosre alaamat jaise Azaane Iqaamat Namaz Ba-jamaat Namaze Jumma, Namaze Eidain Khatna yeh shab Sha’aaieere Deen hai.

〰〰 to be contd..
fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

0 comments:

Post a Comment