Sunday, November 1, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #462

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 152

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ To Meri yaad karo maiñ tumhara charcha karunga  aur Mera haq maano aur meri  na-shukri na karo.

▶ Tafseer
▶ Zikr teen tarah ka hota hai 1. Lisaani. 2. Qalbi. 3. Bil-jawareh.
▶ Zikre Lisaani Tasbeeh taqdees sana waghairah bayan karna hai khutba taubah istigfaar dua waghairah iss mein daakhil hai.
▶ Zikre Qalbi Allah Ta’ala ki Nea’mato ka yaad karna uski Azmat wa Qibriyaai aur uske Dalaile Qudrat mein gaur karna aulma ka istimbate masaeel mein gaur karna bhi isi mein daakhil hai.
▶ Zikre Bil-jawareh yeh hai ki aaza Ta’ate Ilahi mein mashgool ho jaise Hajj ke liye safar karna yeh zikre Bil-jawareh mein dakhli hai. Namaz teeno qism ke zikr par mushtamil hai tasbeeh wa takbeer sana wa qira’at to zikre lisaani hai aur Khushu’a wa Khujoo’a ikhlaas zikre qalbi aur qiyaam ruku wa sujood waghairah ka zikr bil-jawareh hai Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنه ne farmaya Allah Ta’ala farmata hai tum Ta’at bajaa laa kar Mujhe yaad karo Maiñ tumhe imdad ke saath yaad karunga Sahiheen ki hadees mein hai ki Allah Ta’ala farmata hai agar Banda mujhe tanhaayi mein yaad karta hai to Maiñ bhi usko aise hi yaad farmata hu aur agar woh mujhe jama'at mein yaad karta hai to Maiñ usko usse behter jama'at mein yaad karta hu Quraan wa Hadees mein zikr ke bahot fazael waarid hai aur yeh har tarah ke zikr ko Shaamil hai, Zikr Bil-jaher ko bhi aur iqfa ko bhi.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

0 comments:

Post a Comment