Sunday, November 1, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 476

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 168 & 169.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aye logoñ khao jo kuch zameen mein halaal paakeeza hai aur shaitan ke qadam par qadam na rakho beshak wo tumhara khula dushman hai, wo to tumhe yahi hukm dega badi aur behayaee ka aur yeh ki Allah par woh baat jodo jiski tumhe khabar nahi.

▶ Tafseer
▶ Yeh Aayat un Ash’khaas ke haq mein naazil huwi jinhone Bizaar waghairah ko haraam kar diya tha isse maloom huwa ki Allah Ta’ala ki halal farmayi huwi cheezoñ ko haraam karar dena uski Razzaqiyat se bagawat hai Muslim Shareef ki Hadees mein hai Allah Ta’ala farmata hai jo maal Maiñ apne bando ko ataa farmata hu woh unke liye halaal hai aur isi mein hai ki Maiñ apne bando ko baatil se be Ta’alluq paida kiya aur unke paas sahayateen aaye aur unhone deen se behkaaya aur jo Maiñe unke liye halaal kiya tha usko haraam thahraya ek aur Hadees mein hai Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنه ne farmaya Maiñe yeh Aayat Sayyade Aalam ﷺ ke saamne tilawaat ki to Hazrate Sa’ad Bin Abi Waqqas رضي الله عنه ne khade ho kar Arz ki Yaa Rasoolullah ! ﷺ dua farmaiye ki Allah Ta’ala mujhe Mustajabud’daawaat karde to Huzoor ﷺ ne farmaya aye Sa’ad apni khuraaq pak karo Mustajabud’daawaat ho jaoge us Zaat e Pak ki kasam jiske Daste Qudrat mein Muhammad ( ﷺ) ki jaan hai aadmi apne peit mein haraam luqma daalta hai to 40 roz tak qubooliyat se mehroomi rehti hai. (#Tafseer Ibne Kaseer)

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

0 comments:

Post a Comment