Sunday, November 1, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #466

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 155

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur zarur Hum tumhe aazmayenge kuch darr aur bhook se.
2⃣ Aur kuch maalo aur jaano aur phalo ki kami se aur khushkhabari suna unn sabr waloñ ko.

▶ Tafseer
1⃣  Aazmayish se farmabadar wa nafarmaan ke haal ka zahir karna muraad hai.
2⃣ Imam Shafayi ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ ne is Aayat ki tafseer mein farmaya ki Khauf se Allah ﷻ ka darr aur Bhookh se Ramzan ke Roze maalo ki kami se zakaat wa sadqaat dene jaano ki kami se amraaz ke zariya maut hona phalo ki kami se Aulaad ki maut muraad hai isliye ki Aulad dil ka phal hoti hai Hadees Shareef mein hai Sayyade Aalam ﷺ ne farmaya jabh kisi bande ka baccha marta hai Allah Ta’ala malayika se farmata hai tum na mere bande ke bacche ki Rooh qabz ki woh arz karte hai ki haa ya Rab phir farmata hai tum ne uske dil ka phal le liya Arz karte hain haan Yaa Rab farmata hai is par mere bande ne kya kaha Arz karte hai usne teri hamd ki aur ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥ parha farmata hai uske liye Jannat mein makaan banao aur uska naam Baitul Hamd rakho hikmat musibat ke pesh aane se qabl khabar dene mein kayi hikmate hai ek to ye ki usse aadmi ko waqte musibat sabr aasaan ho jata hai ek yeh ki jabh kaafir dekhe ki Musalman bala wa musibat ke waqt saabir wa shaakir aur istiklaal ke saath apne deen par qayam rehta hai to unhe deen ki khoobi maloom ho aur uski taraf ragabat ho ek yeh ki aane wali musibat ki qabl Wuku e Ittela’a gaibi khabar aur Nabi e Kareem ﷺ ka maujeza hai ek hikmat yeh ki munafiqeen ke qadam ibtela ki khabat se ukhad jaaye aur momin wa munafiq mein imtiyaz ho jaye.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

0 comments:

Post a Comment