Sunday, February 21, 2016

Qurbani Ke Masail#523

SHARE
Qurbani Ke Masail #523.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Qurbani ki woh cheezein jo nahi khaani chahiye aaj kal bekhabri mein pakaayi aur khaayi jaati hai.

▶ Zabah ke waqt jo khoon nikalta hai usko dame masfooh kehte hai yeh napaak hota hai iska khaana haraam.
▶ Zabah ke baad jo khoon gosht mein reh jaata hai jaise gardan ke kate huwe hisse par dil ke andar kaleji aur tilli mein aur gosht ke andar ki choti choti ragon mein yeh napaak to nahi magar is khoon ka bhi khaana mamnu hai isliye pakaane se pehle khoob acchi tarah safaai kar lein.
▶ Pakane ke baad woh ragein kali dori ki tarah ho jaati hai khaas kar bheje sirri paaye aur murgi ki raan aur par ke gosht mein baarik kaali doriyaan dekhi jaati hai khaate waqt inko nikaal dein Murgi ka dil bhi pura na pakaaye lambayi mein chaar chire kar ke iska khoon saaf kar lein.
▶ Haraam magz yeh safed doori ki tarah hota hai jo bheje se shuru ho kar gardan ke andar se guzarta huwa puri reedh ki haddi mein aakhir tak jaata hai.

〰 To Be Contd.....

0 comments:

Post a Comment