Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #523.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 209.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur agar uske baad bhi bichlo ( fislo ) ki tumhare paas raushan hukm aa chuke to jaan lo ki Allah Zabardast hiqmat wala hai.
▶ Tafseer
▶ Aur ba wajood waazeh daleelo ke Islaam ki raah ke khilaaf rawish ikhtiyaar karo. ( Iss tafseer ka talluq pichli Aayat se hai, ikhtiyaar karo hukm ke muraad se nahi hai balki, agar tum aisa karo to jaan lo ki Allah ﷻ zabardast hiqmat wala hai.)
Sunday, February 21, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment