Safar e Haj # 500
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
⏩ Hajj wajib hone ke sharait
7⃣ Safar - kharch ka maalik ho aur sawaari par qadir ho khwah sawaari uski milkh ho ya uske paas itna maal ho ki kiraye par le sake.
▶ Masla - Safar - kharch aur sawaari par qadir hone ke yeh ma'na hai ki yeh cheezein uski haajat se fazil (zyada) ho yaani makaan wa libaas wa khadim aur sawaari ka jaanwar aur peshe ke auzaar aur khaanadaari ke samaan aur dein (karz) se itna zayid ho ki sawaari par Makkah Muazzama jaaye aur waha se sawaari par wapas aaye aur jaane se waapsi tak ayaal (baal-bacche) ka nafqa aur makaan ki marammat ke liye kaafi maal chord jaaye aur jaane aane mein apne nafqa aur ghar ayaal ke nafqe mein darmiyaani miqdaar ka aitbaar hai na kami ho na israaf (fuzoolkharchi) ayaal se muraad woh log hai jinka nafqa uss par wajib hai yeh zaroori nahi ki aane ke baad bhi waha aur yaha ke kharch ke baad kuch baaki bache.
#Durre Mukhtar Safah 143
#Alamgiri Safah 140
▶Masla:- itna maal hai ki usse hajj kar sakta hai magar usse nikah karna chahta hai toh nikah na kare balki hajj kare ki hajj farz hai yaani jabh ki hajj ka zamaana agaya aur agar pehle nikah mein kharch kar daala aur mujarrad yaani bagair biwi ke rehne mein gunaah ka khauf tha toh harj nahi.
#Alamgiri
#Durre mukhtar
▶ Masla:- jis makaan mein rehta hai agar usey bechkar ussey kam haisiyat ka kharede toh itna rupya bachega ki hajj karle toh bechna zaroori nahi magar aisa kare toh afzal hai. Lihaza makaan bechkar hajj karna aur kiraaye ke makaan mein guzar karna toh aur zyada zaroori nahi.
#Alamgiri Safah 140
Wednesday, February 17, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment