Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 500.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Contd Post # 498 & 499.
Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 187.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
7⃣ Phir raat aane tak Roze poore karo.
8⃣ Aur Auratoñ ko haath na lagao jabh tum Masjido mein eitekaaf se ho, yeh Allah ki hade hai unke paas na jao Allah yuñhi bayaan karta hai logo se apni Aayateiñ ki kahi unhein parhezgaari mile.
▶ Tafseer
7⃣ Isse roze ki aakhri hadd maloom hoti hai aur yeh masla saabit hot hai ki bahalate roza khurd wa nosh wa mujama'at mein se har ek ke irteqaab se kaffara laazim ho jaata hai (#Madarik)
▶ Masla – Aulma ne is Aayat ko saume wisaal yaani tah ke roze ke mamnu'u hone ki daleel karaar diya hai.
8⃣ Isme bayaan hai ki ramzan ki raatoñ mein rozaadar ke liye Jima'a halaal hai jabh ki wo Moutakif na ho.
▶ Masla – Etikaaf mein aurato se qurbat aur bos wa kinaar Haraam hai.
▶ Masla – Mardo ke Etikaaf ke liye Masjid zaroori hai.
▶ Masla – Motakif ka masjid mein khana peena sona jayaz hai.
▶ Masla – Aurato ka Etikaaf unke gharo mein jayaz hai.
▶ Masla – Etikaaf har masjid mein jayaz hai jisme Jama'at Qayam ho.
▶ Masla – Etikaaf mein Roza Shart hai.
Wednesday, February 17, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment