Safar e Hajj #501.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
Hajj ke Wajibaat
1⃣ Meqaat se ehraam bandhna yaani meqaat se bagair ehraam na guzarna aur agar meqaat se pehle hi ehraam baandh liya toh jayez hai.
2⃣ Safah wa marwa ke darmiyan daudna isko sa'i kehte hai.
3⃣ Sa'i ko safah se shuru karna aur agar marwa se shuru ki toh phera (round) shumar na kiya jaaye uska iaa'da kare yaani dobara kare.
4⃣ Agar uzr na ho toh paidal sa'i karna, sa'i ka tawaaf ke aksar phere ke baad yaani kam az kam chaar pheron ke baad hona.
5⃣ Din mein Wuqoof kiya toh itni deir tak Wuqoof kare ki aaftaab doob jaaye khwah aaftaab dhalte hi shuru kiya ho ya baad mein gharaz suraj ke doobne tak wuqoof mein mashgool rahe aur agar raat mein wuqoof kiya toh iske liye kisi khaas had tak wuqoof karna wajib nahi magar woh iss wajib ka taarik ( chhorne wala ) huwa ki din mein guroob tak Wuqoof karta.
6⃣ Wuqoof mein raat ka kuch juz (hisaa) Ajaana.
7⃣ Arafat se waapsi mein imaam ki mutaba'at (pairveeh) karna yaani jabh tak imaam waha se na nikle yeh bhi na chale haan agar imaam ne waqt se takheer (deir) ki toh isse imaam ke pehle chala jaana jayez hai aur agar bheed wagaira kisi zaroorat se imaam ke chale jaane ke baad theher gaya saath na gaya jab bhi jayez hai.
8⃣ Muzdalifa mein theherna.
9⃣ Maghrib wa Isha ki namaz waqte isha mein Muzdalifa mein akar parhna.
🔟 Teeno jamron par dasvi,gyarvi,baarvi teeno din kankariyan maarna yaani dasvi ko sirf jamartul aqba par aur gyarvi, baarvi ko teenon par rami karna yaani kankariyan maarna.
1⃣1⃣ Jamartul aqba ki rami pehle din halq yaani sar ke baal mundaane se pehle hona.
1⃣2⃣ Har roz ki rami ka ussi din hona.
1⃣3⃣ Sar mundaana ya baal katarwana.
1⃣4⃣ Aur uska ayyame nahar yaani qurbani ke dinon mein.
〰 To Be Contd........
Wednesday, February 17, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment