Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 501.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 188.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur aapas mein ek doosre ka maal na haq na khaao aur na hakeemo ke paas unka muqaddama isliye pahuchaao ki logo ka kuch maal najayez taur par khaalo jaan bujh kar.
▶ Tafseer
▶ Is Aayat mein baatil taur par kisi ka maal khaana haraam farmaya gaya khwaah loot kar ya cheen kar ya chori se ya juye se ya haraam tamasho ya haraam kaamo ya haraam cheezo ke badle ya rishwat ya jhooti gawahi ya chugalkhori se yeh sab mamnoo wa haraam hai.
▶ Masla- Isse maloom huwa ki najayaz fayeda ke liye kisi par muqaddama banana aur usko hukkam tak le jaana najayaz wa haraam hai jo Hukkam–ras log hai woh is aayat ko peshe nazar rakhe Hadees Shareef mein Musalmano ke zarar pahuchane waalo par laanat aayi hai.
Wednesday, February 17, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment