Safar e Hajj # 502.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
⏩Hajj ke Wajibaat
1⃣5⃣ Haram shareef mein hona agarche meena mein na ho.
1⃣6⃣ Qiraan wa tamatto wale ko qurbani karna.
1⃣7⃣ Aur uss qurbani ka haram aur ayyame nahar mein hona.
1⃣8⃣ Tawaafe ifazavka aksar hissa ayyame nahar mein hona. Arafat se waapsi ke baad jo tawaaf kiya jaata hai uska naam tawaafe izafa hai aur isse tawaafe zyarat bhi kehte hai tawaafe zyarat ke aksar hisse se jitna zayid hai yaani teen phere ayyame nahar ke ghair mein bhi ho sakta hai.
1⃣9⃣ Tawaaf hateem ke bahar se hona.
2⃣0⃣ Dahine taraf se tawaaf karna yaani kaaba muazzama tawaaf karne wale ki baayi jaanib ho.
2⃣1⃣ Uzr na ho toh paav se chal kar tawaaf karna yaha tak ki agar ghisit'te huwe tawaaf karne ki maanat maani jabh bhi tawaaf mein paav se chalna laazim hai aur tawaafe nafl agar ghisit'te huwe shuru kiya toh ho jayega magar afzal yeh hai ki chal kar kare.
2⃣2⃣ Tawaaf karne se najasate hukmiya se paak hona yaani junub wa be wazu na hona agar be wazu ya janabat mein tawaaf kiya toh dobara kare.
2⃣3⃣ Tawaaf karte waqt satr chupa hona yaani agar ek uzv ki chauthayi ya isse zyada hissa khula raha toh dam ( qurbani ) wajib hoga aur chand jagah se khula raha toh jama karenge garaz namaz mein satr khulne mein jaha namaz fasid hoti hai yaha dam wajib hoga.
2⃣4⃣ Tawaaf ke baad do rakaat namaz parhna na parhi toh dam wajib nahi.
2⃣5⃣ Kankariyan phekne aur zabah aur sar mundaane aur tawaaf mein tarteeb yaani pehle Kankariyan phenke phir gair e mufrid qurbani kare phir sar mundaaye phir tawaaf kare.
2⃣6⃣ Tawaafe sadr yaani mekaat se bahar ke rehne waloñ ke liye rukhsat ka tawaaf karna, agar haj karne wali haiz ya nifaas se hai aur taharat se pehle kaafila rawaana ho jayega toh uss par tawaafe rukhsat nahi.
2⃣7⃣ Wuqoofe arfa ke baad sar mundaane tak jima'aa na hona.
2⃣8⃣ Ehraam mein mana ki huwi baatein maslan sila kapda pahenna aur mooh ya sar chupaane se bachna.
Masla:- wajib ke tark se yaani chorne se dam lazim aata hai khwaah qasdan tark kiya ho ya sahvan khata ke taur par ho ya bhool kar woh shaks uska wajib hona jaanta ho ya nahi. Haan agar qasdan kare aur jaanta bhi ho toh gunaahgaar bhi hai magar wajib ke tark se haj baatil na hoga albatta baaz wajib iss hukm se istisna hai yaani alag hai ki unke tark par dam lazim nahi maslan tawaaf ke baad ki dono rakatein ya kisi uzr ki wajeh se sar na mundaana ya maghrib ki namaz ka isha tak muakkhar na karna yaani deir na karna ya kisi wajib ka tark aise uzr se ho jisko shariat ne moatabar rakha ho yaani waha ijazat di ho aur kaffara saaqit kar diya ho.
Wednesday, February 17, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment