Wednesday, February 17, 2016

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 502.


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 189.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tumse naye chaand ko puchte hai.
2⃣ Tum farma do woh waqt ki alamatee hai logoñ aur Hajj ke liye.
3⃣ Aur yeh kuch bhalayi nahi ki.
4⃣ Gharoñ mein pachit (pichli deewar) todh kar aao, haañ bhalayi to parhezgaari hai aur gharo mein darwazo se aao aur Allah se Darte raho is ummeed par ki falah paao.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool yeh Aayat Hazrat Ma'az bin Jabal aur Sa'alba bin Ganam Ansari ke jawab mein Naazil huwi in dono ne Dariyaaft kiya ki Yaa Rasoolullah ﷺ Chaand ka kya haal hai ibtida mein bahot baariq nikalta hai fir roz ba-roz barhta hai yahañ tak ki poora raushan ho jaata hai phir ghatne lagta hai aur yahañ tak ghat'ta hai ki pehle ki tarah baarik ho jaata aur ek Haal par nahi rehta is sawaal se maqsad chaand ke ghatne aur badhne ki hikmateiñ dariyaft karna tha baaz mufassireen ka khayal hai ki sawal ka maqsood chaand ke ikhtilaafat ka sabab dariyaft karna tha.

2⃣ Chaand ke ghatne aur barhne ke fawayed bayaan farmaye ki woh waqt ki alaamte hai aur aadmiyon ke hazaaraha deeni wa duniyawi kaam isse muta'alliq hai Zara'at tijaarat lein dein ke muaa'malaat roze aur did ke auqaat, aurato ki iddateiñ, haiz ke ayyam, hamal, aur doodh pilane ki muddate aur doodh churane ke waqt aur haj ke awkaat isse maloom hote hai kyuki awwal mein jab chaand baarik hota hai to dekhne wala jaan leta hai ki yeh ibtedaayi taarikhe hai aur jabh chaand poora raushan hota hai to maloom ho jata hai ke ye mahine ki darmiyani taarikh hai aur jab chaand chhup jaata hai to maloom hota hai ki mahina khatm par hai isi tarah unke maabain ayyam mein chaand ki haalate dalalat kiya karti hai phir mahino se saal ka hisaab hota hai yeh woh qudarati jantri hai jo aasmaan ke safaha par hamesha khuli rehti hai aur har mulk aur har zabaan ke log padhe bhi aur be padhe bhi sab usse apna hisaab maloom kar lete hai.
3⃣ Shaane Nuzool zamana e jahiliyat mein logoñ ki yeh aadat thi ki jabh wo hajj ke liye ehraam baandhte to kisi makaan mein uske darwaze se daakhil na hote agar zarurat hoti to pachhit todh kar aate aur isko neki jaante is par yeh Aayat naazil huwi.
4⃣ Khwaah ehraam ho ya gair ehraam.

0 comments:

Post a Comment