Saturday, February 20, 2016

Safar e Hajj #521

SHARE
Safar e Hajj # 521

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله

⏩ Rami ke masaail aur makroohat

▶️ Jo shaks mareez ho ki jamra tak sawaari par bhi na ja sakta ho woh doosre ko hukm karde ki iski taraf se rami kare aur aur usko chahiye ki pehle apni taraf se saat kankariyan marne ke baad mareez ki taraf se rami kare yaani jabh ki khud rami na kar chuka ho aur agar yuñ kiya ki ek kankari apni taraf se maari phir ek mareez ki taraf se maari yuñhi saat baar kiya toh makrooh hai aur mareez ke baghair hukm rami kardi toh jayez na huwi aur agar mareez mein itni taqat nahi ki rami kare toh behtar yeh hai ki uska saathi uske haath par kankari rakh kar rami karaye yuñhi behosh ya majnoon ya na samajh ki taraf se uske saath wale rami karde aur behtar yeh ki unke haath par kankari rakh kar rami karaye.

⏩ Rami mein yeh cheezein makrooh hai.
▶️ Dasvi ki rami guroob e aaftaab ke baad karna.
▶️ Terhveeh ki rami dopahair se pehle karna.
▶️ Rami mein bada patthar maarna.
▶️ Bade patthar ko tod kar kankariyan banana.
▶️ Masjid ki kankariyan maarna.
▶️ Jamra ke neeche jo kankariyan padi uthakar maarna ki yeh mardood kankariyan hai, jo qabool hoti hai woh utha li jaati hai ki qayamat ke din nekiyon ke palle mein rakhi jayengi warna jamron ke gird pahaad ho jaate.
▶️ Napaak kankariyan maarna.
▶️ Saat se zyada maarna.
▶️ Rami ke liye jo dishaa zikr ki gayi hai uske khilaaf karna.
▶️ Jamra se paañch (5) haath se kam faasle par khada hona, zyada ka muzaika (harj) nahi.
▶️ Jamron mein tarteeb ke khilaaf marna.
▶️ Maarne ke badle kankariyan jamra se paas daal dena.

0 comments:

Post a Comment